Monday, November 22, 2010

Insaan bara kamina hai!

Insaan bara kamina hai!

Main poora din par ke sota raha. Shaam 'eid milan' party main khush-gupiaN kerta raha aur raat ko mehfil-musiqi main saroor ke maze lotta raha.

'Aankh tub khuli' jub Amma ne dusre din poocha: "Beta! kul tumhare Abbu ki barsi thi - umeed hai tum ne sadqa de ker nafal ki do namzain parh li hongi"!

Mere baap ko mare abhi 7 baras bhi nahi huwe magar unki yaad duniya-daari ke meloN aur jameloN main kahiN aese mehv ho ker reh gai ke main unhe bhool hi gaya. Insaan bara kamina hai. Apne baap ko bhi bhul jaata hai!

(I regret it more than anything as I failed to convey an important lesson of relationship to my own kids).

4 comments:

Rida said...

jo dunya insaan ko apni akhrat bhi bhula day wo rishtay kahan yaad rehnay deti hay...in my view insaan kmena honay say ziada khud garz hay....jahan uska koi faida hi nahi wo baat insaan yaad rakhne ki koshish bhi nahi karta....


Allah tala humain hamaray buzargon k liye or hamari aulad ko hamaray liye sadqa-e-jaria banay ameen.

mystic-soul said...

Its an important word : "Sadqaye Jariya"

Mezba (RWM) said...

translations? :-)

mystic-soul said...

Mezba ...Interesting website. I really enjoyed your work....Very well done masha-allah..

Anyways, Sadqaye-Jaariya means continous (fountain of) good deed.