Tuesday, November 08, 2011

Kirnain -2

Main ne pehle bhi is blog pe likha hai (here): "One of the most 'finest' love story in Urdu is writtten by Shaifqur Rehman called KirnaiN". Zindagi main aksar aese mor aaye hain jub main ne almari se nikal ker is afsane ko phir parha hai. Aaj bhi aesa hi aik din tha......


"Shaffu bhayya ka dil kesa tha? jo na gamoN se jhuka, na aaftoN ne is per koi asar kiya. MaayusioN ke kese toofan aaye lekin use na hila sake.......


"Aur ab! - Ab bhi un ki wahi tanha zindagi hogi, be-kaif zindagi! lekin un ka chehra ab bhi roshan hoga. Shikayat ka aik lafz bhi un ke laboN per na aata hoga. MareezoN ka aadha dukh to woh apni meethi baatoN se dur ker dete hon ge. Rang ba-rang phooloN ka ab bhi shoq hoga. Baag main ab bhi subah subah seetiaN bajate hon ge"


"......Tab main ne socha ke ye ranj-o-gum sab waqti cheezaiN hain. Bilkul naa'paidaar! - Na to khushi hi dair tak rehti hai aur na udasi. Bulke aesi mehboob hastioN ki yaad hamesha ke liye dil maiN mehfooz rehti hai - aur aese masroor lamhoN ki yaad bhi - jo kabhi muskurahatoN main basar huwe the. Yahi zindagi ki weeranioN main rafiq banti hai. Sab kuch ujar jaane per bhi zindagi ki taarikiaN inhi kirnoN se jagmaga uththi haiN. Ye jhilmil jhilmil kerti hui piyari piyari kirnaiN"

4 comments:

bsc said...

I enjoyed Kirnain long time ago whn I was young. Dr. ShafiqurRehman has now many other doctors who have joined him as mazahiya writers but he remains unparalleled

mystic said...

I agree, he is unparallel!

beyond said...

he is the best.

mystic said...

Indeed he is!