Saturday, March 24, 2012

On Hunting!

 Faiz sahab (Faiz Ahmad Faiz)  se meri zindagi main aik hi baar mulaqat hui. Meri umar bohat choti thi is liye unki ziyada tar batain mere faham se bala'tar thiN - magar unka sunaya huwa aik waqiya yaad reh gaya.....Baat khane se shuru hui. Kisi ne kaha ye shikar kiya huwa gosht hai. Faiz sahab 'sensitive' aadmi the. Shayed har achha aadmi hota hai.  Faiz sahab kehne lage:


"Jawani main insaan ajeeb tarang main hota hai. Hum apne shikari kuttoN ke saath khargosh ka shikar kerne gaye. Hamare kutte 2 khargosh pakar laye. Aik Khargosh ko zibah kiya to pata laga woh hamila (pregnant) hai aur andar 2 bachhe the.....saari zindagi ye aehsase-khauf raha ke 2 bachhoN ki ma ko zibah ker dala..........insan kabhi nahi chahta - magar phir bhi kisi ko dukh pauncha hi deta hai"!


Pata nahi kiun itne barsoN baad ye baat yaad aai to socha likhta chalun....

No comments: