Thursday, May 03, 2012

Bimar Khala

(posted as heard)


"Hamare paros main aik khala rehti thiN - sada ki bimar! Un ki 4 betiaN thi, jin ke rishte ki fiqar maiN woh ghul ghul ke bimar rehne lagi thiN. Blood pressure, Migraine aur na jaane kesi ajeeb ajeeb - dil hola dene wali - bimariaN thi. Saare mohalle main 'Bimar Khala' ke naam se mashoor thi -------- Aik mazaq ban ker reh gai thiN.


Aaj jub meri aik beti 26 baras ki hai aur uska koi rishta nahi aata to mera bhi blood pressure high rehne laga hai. Mujhe bhi migraine hone laga hai..............Log kehte hain, duniya badal gai - beta beti ka koi faraq nahi raha. "Desi culture" khatam hi samjho! ----- Ho sakta hai, yeh sach hoke duniya bohat badal gai hai magar abhi aik Ma ka dil itna nahi badla ke - beti beta lagne lage...... Aaj bhi beti ko ghar aane main 10 minute der ho jaaye to dil dharkne lagta hai....pooch to nahi sakti magar dua hi kerti hun ke izzat salamat ho........ShadioN main le ker jaati hun, ziyada khane se tokti hun, aas paas ke logoN se kehti hun, 2 dafa darood shariff bhi kerwaya....


Kiya tum mujhe neend ki koi goli likh ke nahi de sakte?"

2 comments:

Natasha said...

Bilkul sahi kaha, zamana jitna bhi badley - desi maan ka dil wuhi hai.

mystic said...

:)