Sunday, November 03, 2013

4 Surah

"Tum na to khuda ko maante ho aur na kisi Allah wale ko! Har cheez ko psychiatry ki aankh se dekhte ho. Agar ye sab jhut hota to 15 saal main kahin kisi 'prozac', kisi 'paxil' ya kisi 'psychotherapy' se mere 'depression' ka ilaj ho hi jata! 

Magar mera ilaj huwa to korangi main bethe aik baba ki choti si dua se.

Yaad hai! - jab tum ne mujhe Banu Qudsiya ki kitab ka woh hissa park ker sunaya tha jis main likha tha - 'Insaan Ishqe-la-haasil se deewana huwa' - to main kitna bilak bilak ke roi thi.

Us din pehli baar main ne tumhe bataya ke Rehan ka ishq mujhe kha gaya. Jab Rehan mujhe chor ker chala gaya to main sach main deewani ho gai - Jitni 'medicines' ke naam tumhe nahi aate un se dugni dawaiaN main ne khai hain - Kai kai raataiN ro ro ker guzari....magar aik lamha chen nahi aaya. 

Peechle mahine Pakistan gai to bari apa mujhe korangi main aik baba ke paas le gain. Us ne bas sir pe haat pehra, paani ka aik piyala diya, us pe koi ayat parhi aur kaha pi jao. Phir raat ko sone se pehle 4 surahaiN parhne ki nasehat ki. Jis Quran ki ayatoN ka tum aksar mazaq urate ho, uski 4 surah tumhari saari psycho-pharmacy se ziyada taqatwar nikli...Us raat 15 baras main pehli baar khub ji bhar ker soi.

Sach poocho to har raat surah falaq, surah naas, sura ahad aur surah asar parh ker soti hun - aur itni gehri neend soti hun ke kabhi na soi thi.

Mere bablu!  Apne Allah se laraii chor do. Tumhari tarah main bhi  apne khuda se barsoN larti rahi, magar sukoon ki neend aakhir usi ki agosh main aai hai!"

2 comments:

just me said...

This does bring a smile on my face. Allah ki raaza par raazi hona..Surat parh kar sona asal mai Allah ki zaat par yaqeen aur us ki hifazat mai apnay app to dainay ka naam hai.

Mystic said...

I guess : Its all about 'submission"