Sunday, December 08, 2013

Naam se Wabasta

"Main bohat choti si thi, tab se mujeh aik khawab aata tha!

Aik  takhti hai, us pe aik naam 'afzal' likha hai. Phir woh naam mit jaata hai aur koi 'anwar' likh deta hai. 

Phir meri shadi 'Afzal' naam ke shaks se ho gai. Afzal bohat achha insaan tha magar mujhe usse kabhi mohabbat na hui. ...Aur ye khawab bhi band na huwa! Phir meri zindagi main 'Anwar" naam ka shaks aaya. Main us ki muhabbat main aesi giraftar hui ke apna sab kuch chor char ker ghar se bhag gai. Anwar koi bohat achha insaan nahi nikla. Sharab bhi peeta hai. Juwa bhi khelta hai. AurtoN ka bhi shoq rakhta hai. Ji main aaye to mujhe marta peetta bhi hai. Magar Khuda jhoot na bulwaye - agar mauj main aaye to toot ker piyar bhi kerta hai, jo maango hazir ker deta hai. Main 'Anwar' ke sahar se kabhi na nikal saki. Bus lagta hai meri zaat ke saare zarre isi aik naam se wabasta hain.

Sach sach batao, kiya tumhari zindagi main aesa koi naam nahi hai jis se tum khud ko wabista samjhte ho?"

(Main ne dil main kaha): "Hai to! magar mujh main tum jitna hosla nahi hai"


2 comments:

Just me said...

jis say toot kay pyaar kiya jai uski disrespect nahi ki jaati. Bipolar and co-dependence?Mobahaat izaat and chahnay ka naam hai.

Mystic said...

Some people tend to thrive on volatility in relationship