Monday, August 11, 2014

Maryam Apa

Meri umar shayed 10 baras ki thi, jab Maryam apa biha' ker hamarey mohalle main aain. Jab pehli baar main ne Maryam apa ko dekha to dekhta hi reh gaya. Is qadar khubsurat chehra! Main ne Maryam Apa se kaha: "Aap bilkul us Shehzadi jesi hain, jinhe Kohkahaf ka jin utha ke le gaya tha". Meri baat sun ker woh hans di aur mera gaal thap-thapa diya, magar aankhoN main aansuoN ki aik halki si lakeer teyr gai, aur main sochta raha: meri baat per Apa rone kiun lagi.

 ....Aur phir kuch arse baad Maryam apa hamara mohalla chor gain. Magar unka khubsurat chehra hamesah mere saath raha. Jahan Shehzadi ki koi kahani parhi, Maryam apa yaad aa gain.

Phir main America aa gaya. Aahista Ahista un ki yaad mehv ho gai. Barson beet gaye. Zindagi main phir aik mor aaya, jab main ne apne bachhon ko shehzadi aur Jin ki kahani sunana shuru ki. Maryam Apa ka khubsurat chehra phir aankoN main cha gaya.

Peechle December, aik shadi main Maryam apa ki bhanji mil gain. Main ne Maryam Apa ka haal poocha, to usne bataya: Maryam Apa ke saath bohat buri hui. Yake baad degre 6 bachhe paida kiye. Barson se shohar unhe maarta peetta hai, dande se kutai kerta hai - aur aksar ghar se nikal deta hai. Korangi ke kisi be-haal chote se mohalle main guzara ker rahi hain. Us ne apne phone pe tasveer dikhai to yaqeen nahi aaya, ye wahi Maryam apa hain. 35 baras main unho ne 100 baras ke safar tey kiya tha. Chehre pe jhuriaN ubhar aayi thiN. Un ki tasveeer dekh ker mujeh laga shayed hawa main 'oxygen' ki kami ho gai hai. Mera dum ghutne laga tha. Main taza hawa ke liye hotel se bahir aa gaya.

35 baras lag gaye mujeh ye baat samjhne main ke, jub main ne un se kaha ke: "Aap bilkul us Shehzadi jesi hain, jinhe Kohkahaf ka jin utha ke le gaya tha" - to kiun unki aankhoN main aansu ubhar aaye the!

Ye hamari kesi zindagiyaN hain, jahan koi shehzada nahi aata - aur kai Maryam ApaiN maut tak, be-haal mohalloN ke barzakh main jhulasti rehti hain!

No comments: