Sunday, March 08, 2015

Locket

Ameeran - Anwar Bengali (here) ki choti bahen thi.

Meri umar 7 baras ho gi shayed. 

GarmioN ki chalchalati aik dopher thi. Lu (Humidity) is qadar shadeed thi ke Karachi ki saari saRkain weeraan thi. Main school se aa kar bister main dupka betha tha. Itne main, mujhe bahir Khilone bechney wale ki awaz sunaii di. Main Amma se chup ke gali main khisak aaya. Khilone waale ki ghanti sun ke Ameeran bhi gali main aa gaii. Hum tajassus se chote chote khilone dekhne lage - woh bhi aik ajeeb umar thi - har cheez se ziyada qiimti the woh 2 aane ke khiloney. Mujeh aik laal rang ki choti gaari achhi lagi magar chaar aane (quarter) sun ker hi main chup ho raha. Ameeran ko aik 'locket' pasand aaya - woh 10 paise (10 cents) ka tha. Ameeran ne mujh se kaha: "Mere paas to sirf 5 paise hain: Main ne kaha: "Tum mere 5 paise le lo". Aur, Ameeran ne hamare paise mila ke woh 'locket' khareed liya. 

Phir Anwar Bengali aur Ameeran Bengali hamara mohalla choR gaye.

BarsoN beet gaye. Jub main Residency kerne Chicago gaya to Phir sab se mulaqat hui - koi 25 baras guzar gaye the. Ameeran ki shadi ho gai thi aur 3 bachhe the. Aik din Ameeran aur us ka shohar mujhe apne ghar le gaye. Hum bohat saari batain kerte rahe. Woh mujhe apne khandan, shadi aur bachhon ki tasveerain dikhate rahe. 

Phir mujeh Ameeran ne woh 'locket' dikhaya, jo us garmi wali dopher hum ne paise mila ke kharida tha. Hum bohat hasey. Us ne ab tak woh sambhaal ke rakha tha! Mujh se Ameeran ne kaha: "Bachpan ka aik atooT lamha main ne is locket main lock ker liya hai". Pata nahi kiun, bohat dinoN tak main un khilono aur khilone bachne wale ke baare main sochta raha ....

- aur itne barsoN baad - woh baat phir mujeh yaad aa gayi jab meri beti iPad chor ker der tak apni chuRion se khelti rahi !!

4 comments:

Aly said...

I cried after reading this, I don't even know why. I don't even know you or any one remotely associated with this.

Thank you.

Mystic said...

Aly . Zindagi main kabhi kabhi, choti si baat saari zindagi ke liye chipak jaati hai...aur kabhi kabhi baRe baRe toofan se insaan asani se guzar jaata hai

Aly said...

I love reading this blog, and how close it is to life... kamaal hai.

mystic-soul said...

Stay around..soon you will find something controversial ...lol