Sunday, November 01, 2015

On La of Ilaha!

"Khuda ke raaste ka musafir banne ke liye khuda ko manna zaroori nahi" 

Jab ye baat main logon se kehta hun to log mujeh hairat se dekhte hain - magar ye sach hai

Ilaha ki rah main lailaha ki kai mazilain aati hain, shakook ke samandar aur be-yaqeeni ki waseeh khaleejain haail hoti hain - kaa'baa o kalisaa ki kashmakash chalti rehti hai - Us se ghabraane ki ya gunah ka aehsas rakhne ki zaroorat nahi - It is absolutely normal!

Bande ka kaam sirf chalna hai - Sach ki talab agar raasikh ho to ye manzilain guzar jaati hain.

Ilaha ka suraj lailaha ke andheroN main hi chamkta hai



2 comments:

mehnaz said...

Your post reminded me of the story of Sarmad-a poet and mystic. He kept saying la Ilaha---there is no God. Aurangzeb's mullah's asked him why he doesn't he recite the second part "Illallah"-but God. He replied that "I am still absorbed with the negative part, Why should I lie?"

Thus he was put to death.
Ali Khan-Razi, Aurangzeb's court chronicler present at the execution relates some of the mystic's verses uttered at the execution stand:

"The Mullahs say Ahmed went to heaven, Sarmad says that heaven came down to Ahmed."

mystic said...

Thank you Mehnaz