(A friend asked me: Have I ever been to interior of Sindh? It took me to - purani diary se aik warq - Sujawal 2005)
Gaya tha main us purane Shahr
Sab kuch badal gaya hai
Na to ab woh school ke paas purani nahr hai aur na hi woh aaloo chole wala ram chand
Aur school se tumhare ghar tak woh jo
aik purana sa mandir tha
Jo dhundhta tha kharabi ke bahaney kab se*
Jis ka chaak har baam, har ik dar ka dame-aakhir tha*
jahan har shaam, tumhara kumba pooja ke liye deep jalaya kerta tha
- woh bil-aakhir ujaR gaya hai
(suna hai, mohalle ke saare hindu hindustan chale gaye)
Ab wahan aik shopping plaza hai
- aur us ki bunyadoN main madfoon hamara bachpan
- tumhe woh qadeem misri "King Tut" yaad hai na - jis ki kahani hum ne pehli baar 2 aane wali library se le ker paRhi thi - woh jis ki qabar kai hazaron saal baad daryaft hui, aur saari duniya hairaan reh gai
- haan andar sab kuch wesa hi tha
magar ooper dukanain aur jhoot fareb ke karobaar ka shor-o-goga tha
Gaya tha main us purane Shahr
*taken from Faiz poetry