Main hawaii jahaz main pehli baar us waqt betha jab America aa raha tha - uski rudaad aik baar likhi thi (here) - uske baad kuch aesa huwa ke - zindagi 'safar dar safar' ban ke reh gai. Kuch gardish e doraN - aur - Baqol Munir Niazi - kujh sanoo maran da shoq vee see.
Uske baad idhar udhar is blog pe apne safar ki kuch posts bhi likhi (like here)
Jab peechle dino, USA main 'Travel Ban' ka shor-o-goga huwa to mujhe apne jahaz ka aik safar bohat aaya. Main Buenos Aires, Argentina ja raha tha. Flight ne subah subah utarna tha magar 'fog' is qadar thi ke jahaz ko qareebi shar 'Cardoba' utaar diya gaya. Hum waiting lounge main chale gaye.
Waqt guzaari ke liye - anjaane musaafir - batain kerne lage. Ab logoN ke safar ki wajoohaat suniye -
- Aik aurat, jis ki umar ab pachas ke aas paas hogi, koi 30 baras pehle shadi ker ke Buenos Aires gai thi - magar wahan us ki shadi chal nahi saki - woh phir USA aa gai - magar us relationship ki chubhan ab tak dil main baqi thi - keh rahi thi: "I want to clean my memories by revisting'!
- Aik shaks jis ki umar 65 ke lag bhag ho gi - Tango dance ka koi aesa show dekne ja raha tha jo saal main sirf aik hi baar us shahr main hota hai
- Aik PhD student thi jo 'Evita' pe maqala likhne ja rahi thi
- Aik aur larki thi jo Saint Felicita ki dukh bari kahani pe documentary banana chahti thi
- Aik buRha shaks tha - jis ki beti ne marte huwe us se kaha tha ke 'Liliana Crociati de Szaszak' ki qabar pe meri taraf se phool charRha dena
- Aik joshila naujawan tha jo political science ka student tha aur Argentinian aur American siyasat ke mawazne pe kaam ker raha tha
- Aik soccer ka player tha jo 'La Boca' ka stadium dekhna chahta tha
Main ye sab chup chaap sun raha tha aur soch raha tha: " kiya koi beRi (travel ban) Khuld se nikle insaan ki bechain ruh ko safar se rok sakti hai? Iqbal ne isi liye to kaha tha:
baġh-e-bahisht se mujhe hukm-e-safar diyā thā kyuuN
kaar-e-jahaaN daraaz hai ab meraa intizaar kar
No comments:
Post a Comment