Saturday, June 17, 2017

On "The Garden Party"

Aap Katherine Mansfield ko english literature ka 'Haseena Moeen' keh sakte hain. She died at a very young age of 34 (pata nahi achhe log jaldi kiun mar jaate hain).

Katherine Mansfield ne wese to kai 'short stories' likhin magar jis kahani ne use dawam bakhsha woh thi "The Garden Party" (you can read here)

Ye ek baRi halki phulki si kahani hai. Ye kahani aik aesi larki ki hai, jo zindagi main pehli baar us ki talkhiyoN se aashna hoti hai - aur kahani ka ikhtitam aik  zara se 'shock' pe hota hai. 

Waise to is kahani pe bohat kuch likha gaya hai aur internet pe aap ko is ke kai 'analysis' milaiN ge - magar main ye kahani paRh ke sochta raha:

 "Hum apne bachhoN ko zindagi ki dhoop se bacha kar phooloN ki tarah paalte hain. Kya hum un ke saath dhoka nahi to kam az kam na-insaafi to nahi kerte?"

Yahi is kahani ka bunyadi sawal hai - Jis ka jawab hum sab dhoondh rahe hain.

(Aur shayad yahi sawal is kahani ko lazawal banata hai).

No comments: