Saturday, September 23, 2017

On sufism

"Sir! Sufism ki koi 'objective and easy definition' to ho gi?

"Haan! Bilkul hai - jo banda kisi dusre bande ke liye asani paida kare woh sufi hai!"

"To sir kiya Allah ko manne ki shart nahi"

"Mere bachhe! sufism ke raaste pe - eeqaan aur be-yaqini - La aur Ilaha - haan aur nahi - kaaba aur kalisaa - hast aur neest - emaan aur kufr -  ka pendulum chalta rehta hai. Aahista aahista gird saaf hoti jaati hai, us se ziyada ghabrana nahi chahiye - aur naa hi us pe dhiyan dena chahiye. Allah ko manne ki shart se ziyada baRi shart us ke bandoN ko nuqsan na paunchane ki hai. Bus yahi "objective and easy definition hai".

"to phir Sir! banda kiya kare?"

"Kuch na kare! mun band rakhe! - khamoshi sirf apni nahi, dusron ki bhi hazar balayain taalti hai - apne 'profession' ko ibadat samjh ker 'practice' kare - namaz, roze ke rituals ho jaaye to sone pe suhaga - aahista aahista - kaam, krodh, lobh, moh aur ahnkaar, bhaag jaate hain - pendulum ther jaata hai - darya saakit ho jaata hai - aur phir kisi raat - man-o-salwa aese utar aata hai, jese 'iqra' wali raat utra tha - jese shabe qadar wali raat hota hai - bus aik  'nanosecond' hai, jis main sab kuch ho jaata hai - qari khud quran ban jaata hai". 

Saari sufism is aik jumle main hai: "Aur Rehman ke bande to wo hain jo zameen par ahistagi se chalte hain aur jab jahil  unse  baat karte hain to woh kehte hain salam."

Paani pe chalne, hawa main uRne aur aag main jalne se baRa maujiza hai - Zameen pe aahista se chalna! - wahiN se noor ke saare chashme phootte hain"!

4 comments:

dopamine said...

Sir boht khubsoorat alfaz. Ahista ahista Rab mil jata agr koshish kro tou.

mehnaz said...

Indeed well said!
Ahistagi see chalna means, having no takabbur(pride), the biggest veil between man and God.

Shaan said...

What a beautiful post specially the line "khamoshi sirf apni nahi, dusron ki bhi hazar balayain taalti hai ".. App ke post soachne pe mazboor karde de te hai...

Anonymous said...

Kiya aap ko maalum hai ke aap ne jis divine light ke experience ka nanosecond main experience hone ka likha hai - us pe hamari religious book bhagavad gita main poora aik chapter hai. app ko main ne aap ke purane email pe mail bheji hai. aap please check ker lo.