Sunday, February 11, 2018

Jhoot nibhana

Zindagi main aik cheez hoti hai - Jhoot chupana!

Aap ne kisi se jhoot bola - usey chupaya - waqt guzar gaya - baat badal gai - aur zindagi chal paRi 

Jhoot ki is se bhi ziyada aik bhayanak shakal (Dangerous form) hai 

- Jhoot nibhana

Ye aik bohat takleef de amar hai ke ye jhoot ki aik musalsal (continuous) shakal hai
-Lamha lamha aik aik pal insaan jhoot ke saath jeeta hai

- Kabhi rishtoN main to kabhi gairoN main
- kabhi rozgaar ke liye 
- kabhi fazool begaaar ke liye
-  kabhi des main, kabhi perdes main
- kabhi sirf kisi ki izzat ke waste ya murawwat o lihaz ke waaste

- ya kabhi sirf "society" main dikhawe ke waaste

Jhoot nibhane ki sainkRo wajoohat hain - aur hazar shaklain hain

Jese aik raakh ka dhe'r hai - jis ke andar aahista aahista aag jhulasti rehti hai 

- Aur phir 

Aik behisi ki chadar si paR jaati hai

Aur insaan ki zaat ka koi hissa aahista aahista be-jaan sa ho jata hai 


3 comments:

Rida said...

اُلفت کے تقاضے اور جھوٹ دونوں ہی نبھانے مشکل ہیں۔ اور آخرِ کار دونوں ہی صورتوں کا انجام بے حسی ہے

mystic-soul said...

:)

The Nest said...

well said.