Monday, February 19, 2018

Ruhani rafiqe-kaar

Qudratullah Shahab ne apni kitab "Shahab naama" ke aakhri mazmoon "chota mun bari baat"main apne kuch ruhani tajarbaat ka zikar kiya hai.

Is kitab main woh likhte hain - (Ruhani tajarbaat) main meri be-basi aur be-kasi dekh ker  '90' (his spiritual guide) ne aainda se mere chote bhai habibullah-shahab ko bhi mera rafiqe-kaar bana diya.


Qudratullah Shahab ki is baat ko main ne kabhi aesi koi khas aihmiat nahi di. Magar insaan jab bohat pareshan hota hai - to aksar insaan ke kamzor dil ka paas rakhte huwe - insaan ke liye paigam kisi aur zaraye se aate hain.

Koi aath baras pehle ki baat ho gi. Zindagi main aik ajeeb pareshani main mubtala huwa (tafseel nahi likhi ja sakti). Muamla sulajh nahi paa raha tha. Isi pareshani main koi 2 mahine nikal gaye.

Aik din Hospital main aik doctor khatoon se mulaqat hui. Kehne lagi: 'I am glad I see you. I was looking for you'

Ye Doctor khatoon Orthodox jewish thin aur har lihaz se apne mazhab ki paband thin. Apne baalon ko dhaanp ke rakhti thin. Har lihas se sharm-o-haya ka paikar thin - ikhlas aur sachhai ka namoona thin - Meri to bas salam dua hi thi.

Kehna lagi: tumhare liya aik paigam hai - main ne hairat se un ka mun taka

BoliN: "Mujhe tumhari pareshani ka ilm to nahi - magar paigam ye hai ke - raasta lambe safar ka hai - magar sabr rakho - asani ho jaaye gi.

Na unhon ne tafseel batayi - na poochne ki himmat hui.

Aese zindagi ke 2/3 waiyaat aur bhi hain - jis se mujhe lagta hai - Qudratullah Shahab ki baat teek ho gi

- Aksar insaan ki liye paigam dusre insaano ke zariye aate hain
- aur woh khud hi aate hain - poochna nahi parta

1 comment:

bsc said...

I guess many of us go through such experiences in life and a related stuff is that of Sacchay khwab, which as a rule is limited to prophets of Allah but they also occur in non-prophets and not necessarily only Muslims or pious people.
Although not related to your subject but kisi doosray insan kay through aatay hain --- reminds me of
خوش تر آں باشد کہ سرّ دلبراں
گفتہ آید در حریث دیگراں