Friday, February 09, 2018

Rehana Khala

Rehana khala kis rishte se meri khala thi - aaj tak samjh na aaya 
- Amma ne jab bhi samjhaya, muamlaa mazeed uljh gaya

Poore khandan main sab se baRa makan unhi ka tha
- Un ke mian ka 'ship breaking' ka waseeh karobaar tha - Aur daulat ki achhi khasi rel pel thi 

Garz ravi har taraf chen hi chen likhta tha

Rehana khala paison ki numaish gareeb rishtedaaroN  ki imdaad ker ke kiya kerti 
- Aur aik dafa jo koi un ki imdaad le leta - woh saari zindagi aesi aesi rakh rakh ke sunaati ke banda sharam se zameen main gaRtha chala jaata. Jab tak un ki raqam wapas nahi hoti, izzat rehana khala ke paas rahen/girweeh rehti - jise woh jab chahtiN football bana ker khelti

Phir Pakistan main 'ship breaking industry' pe zawal aa gaya
 - shohar ko heart attack ne kha liya, aur beta ghar choR ke chala gaya
- 2 betiAn perdes biah di  
-
Aur rehana khala naukroN aur naukranioN ke saath akele reh gain

Kab tak jama punji kaam aati?

- minnate ker ker ke bete ke paas london chali gain. Magar chunke - purani aadatain ab pukhta ho chuki thiN, bahu se nahi bani - aur bete ne ghar se nikal jaane ki warning de di

aik beti canada main thi aur aik america main
 - Canada ki sardioN main unka arthritis aesa active huwa ke, 
-2 mahine main hi dusri beti ke paas america aa gain

 - Aur phir 12-14 baras guzar gaye, mujeh is kahani ki koi bhanak na pari -

Peechle hafte Amma ne poocha: "Rehana khala yaad hai?" (Mere chehre pe aik muskurahat aa gai)
Amma ne bataya: "Rehana khala Houston main aik boseeda se apartment main kisi family ke saath paying guest rehti hain. Saare bachhe mun moR chuke hain. Jin logon pe hukm chalaya kerti thi, ab unhi logon ke ghar aaya-giri ker ke apne 'paying guest' ka kiraya poora kerti hain"!

- Shayed isi ko makafate amal kehte hain

3 comments:

mehnaz said...







koī bhī rañg mayassar na aa sakā to phir
qubūl kar liyā rañg-e-hayāt aisā hi,
Ghubar-e-dard me rah-e-najat aisa hi!
It is very sad, and ibrat or naseehat for all. However I feel bad for her, maybe because I didn't know her personally and maybe if i had known her it would be difficult to say this: still who is to know if she is repenting and this could be her rah-e-najat?
I wish her children could have taken care of her, at least by providing for her needs, even if they cannot let her stay with them.















mystic-soul said...

Just side note: There was a lot of fight about the leftover asset (house in Pakistan) - and it was not very "nice".

Books and Stilettos said...

I feel bad for this lady that no one is caring for her including her children like mehnaz said because after all she is their mother..But People Do need to understand "bura salook aur buray rawayee " kabhi kam nahi atay , wo iss dunya aur akhirat dono k liye Azaab bun jatay hain ... May Allah have mercy on her and make it easy for her.

Its a lesson for us all for sure !