Thursday, July 26, 2018

Green (and Pakistan)

Jab pehli dafa Pakistan se America ke liye rawana huwa - aur sab ne gaari main bitha ke fi-aman-illah kiya to main ne dekha mera 7 baras ka chota bhanja gaari ke peeche bhagta chala aa raha hai. Main ne dost se kaha gaari roko. Mere bhanje ke haat main Pakistan ka aik chota sa parcham tha. Us ne apni totli si zaban main kaha: "Mamu! ye sab se ziyada kaam ki cheez reh gai. Ise sambhal ke rakhiye ga". Baik-waqt meri aankhoN main aansu anr honton pe hasi aa gai. Main ne us se wada ker liya ke - "Yaara! teri qasam, hamesah ise sambhal ke rakhun ga - wada - pakka wada". Aur main ne us ka maatha chum ke usey wapas rawana ker diya.

America main koi 22/23 baras ho gaye - mujh main se poora ka poora Pakistan nikal gaya - magar main ne apna wada nibhaya (ab bhi woh chota sa parcham meri library ke shelf pe lehrata hai).

Jab Chicago main tha to hamare apartments ka janitor 'Pablo' maxican tha. Tab internet nahi aaya tha. Pablo hume mexico ke qisse sunata aur hum use Pakistan ke. Aik din Pakistan ka parcham dekh ke kehne laga: "Hamare Mexico ke parcham main bhi hara (green) rang hai. Tum jaante ho na green colour ka kiya matlab hai?" Main ne bachpan se rata-rataya jawab de diya: "Khush-haali". Pablo ne hame bataya:

"Hamari dev-maalaai (mythological) kahanion main kaha jaata hai ke - jab aasmaan pe khuda raazi hota hai to woh us qaum ko hara rang ataa kerta hai. Suraj ka peela rang aur samandar ka neela rang jab aik saath markooz hote hain to un dono rang ki aamezish se wahan khuda ki muqaddas aur zarkhez zameen ubhar aati hai aur insaaniyat khub abad hoti hai".

Jab bhi Pakistan ke parcham pe nazar paRti hai - dil kehta hai - kaash pablo ki baat sach ho.




(Pakistan ke halya election ke pas manzar main likha gaya)- 

1 comment:

bsc said...

I remember, all my excitement and in that Ramadhan I studied what the Percham of upcoming country Pakistan would be like etc and decided to sew up with my own hands to be ready on that date and it was so This was a 'remote'kind of village in those days (Kotla Arbali Khan and I was almost 14 yrs old on 15th August 1947. There was no liklihood of a flag to appear in the village
Now I wish so much after my leaving the village somebody should have preserved that particular flag I go to my village but I cant find it now