Thursday, July 12, 2018

Mari Khala aur shukrane ki nafal namazain

Mari khala ka asli naam shayed kisi ko nahi malum magar hamare saare mohalle main isi naam se jaani jaati thin.

Allah jhoot na bulwaye, mari apa ki 4 betian - aur sab ki sab shuru se hi shakal-o-surat se gai guzri thiN. Aik to shakal surat kum uper se maali halat bhi naped. Mari khala ke mian domicile office ke bahir typing ka kaam kerte the. Mari khala ko is ka aehsaas bohat achhi tarah se tha, isi liye pehli beti abhi solah baras ki bhi nahi hui ke us ke liye rishte dhundhne shuru ker diye. 

Phir aaye din ye sab sunne main aata ke - aaj laRki ko koi  paan wala dekhne aaya magar mana ker ke chala gaya. Kabhi kisi cycle wale ki to kabhi kisi doodh dahi ki  dukan wale ki khabar aati.

Betion ko bhi is baat ka aehsaas tha. Unon ne saari tawajah taalim ki taraf laga di. Aur mohalle main kabhi apne kirdar pe bhi koi harf naa aane diya. 

Jab bhi betion ka koi rishta pakka nahi hota, mari khala shukrane ki 2 nafal namaz parh leti. Aik din main ne amma se poocha ye kiya maajra hai. Rishta to pakka nahi huwa, phir shukraane ki namaz kiun? Amma batati, mari khala kehti hain: mere khuda ka koi bhed ho ga, us ki khushi main meri khushi - is niyyat se rab ka shukar ada kerti hain ke us na shayed betion ko kisi azab se bacha liya. 

Hum mulhid type insaan the: sir jhatak ke aage barh jaate.

Main America aane se 10 baras pehle tak ye silsila dekhta raha. 

Peechle hafte mera Pakistani doctors (APPNA) ki meeting ke liye Dallas jaana huwa to wahan un ki dusri beti nuzhat aik doctor sahab ki biwi ke tor pe mili. Us ne bataya saari bahanain aik se barh ker aik jagah biah di gai hain. Jab charon betioN ki shadi ho gai to mari khala aur un ke shohar shukraane ke tor per haj bhi ker aaye. 

Namaz to main aaj bhi nahi paRta - bus shumaila (here) ki di hui jaa'namaz ko  saath saath liye phirta hun. Jab Dallas se wapasi ke liye jahaz main betha to bohat der tak Mari khala aur un ki shukranye ki nafal namazoN ke baare main sochta raha - ke ya Allah! - kiya yahi woh tere gaazi aur pur-asraar bande hain - jin ka maujizaa saamne to rehta hai per nazar nahi aata!


On a side note: Indian flick Sanju (here) is a well-made movie 10/10

1 comment:

EyeAre said...

Sometime it takes years and decades to connect the dots.