Thursday, July 12, 2018

Maree Khala aur shukrane ki nafal namazain

Maree khala ka asli naam shayed kisi ko nahi malum magar hamare saare mohalle main isi naam se jaani jaati thin.

Allah jhoot na bulwaye, maree apa ki 4 betian - aur sab ki sab shuru se hi shakal-o-surat se gai guzri thiN. Aik to shakal surat kum uper se maali halat bhi naaped. Maree khala ke mian domicile office ke bahir typing ka kaam kerte the. Maree khala ko is ka aehsaas bohat achhi tarah se tha, isi liye pehli beti abhi solah baras ki bhi nahi hui ke us ke liye rishte dhundhne shuru ker diye. 

Phir aaye din ye sab sunne main aata ke - aaj laRki ko koi paan wala dekhne aaya magar mana ker ke chala gaya. Kabhi kisi cycle wale ki to kabhi kisi doodh-dahi ki dukan wale ki khabar aati.

Betion ko bhi is baat ka aehsaas tha. Unon ne saari tawajah taalim ki taraf laga di. Aur mohalle main kabhi apne kirdar pe bhi koi harf naa aane diya. 

Jab bhi betion ka koi rishta pakka nahi hota, maree khala shukrane ki 2 nafal namaz parh leti. Aik din main ne amma se poocha ye kiya maajra hai. Rishta to pakka nahi huwa, phir shukraane ki namaz kiun? Amma batati, maree khala kehti hain: mere khuda ka koi bhed ho ga, us ki khushi main meri khushi - is niyyat se rab ka shukar ada kerti hain ke us na shayed betion ko kisi azab se bacha liya. 

Hum mulhid type insaan the: sir jhatak ke aage barh jaate.

Main America aane se 10 baras pehle tak ye silsila dekhta raha. 

Peechle hafte mera Pakistani doctors (APPNA) ki meeting ke liye Dallas jaana huwa to wahan un ki dusri beti nuzhat aik doctor sahab ki biwi ke tor pe mili. Us ne bataya saari bahanain aik se barh ker aik jagah biah di gai hain. Jab charon betioN ki shadi ho gai to maree khala aur un ke shohar shukraane ke tor per haj bhi ker aaye. 

Namaz to main aaj bhi nahi paRta - bus shumaila (here) ki di hui jaa'namaz ko saath saath liye phirta hun. Jab Dallas se wapasi ke liye jahaz main betha to bohat der tak Maree khala aur un ki shukranye ki nafal namazoN ke baare main sochta raha - ke ya Allah! - kiya yahi woh tere gaazi aur pur-asraar bande hain - jin ka maujizaa saamne to rehta hai per nazar nahi aata!


On a side note: Indian flick Sanju (here) is a well-made movie 10/10

1 comment:

EyeAre said...

Sometime it takes years and decades to connect the dots.