Wednesday, August 29, 2018

Pardah aur Gawahi

"Sir! Zindagi ka aik kaRa imtihan aa paRa hai

Merri zindagi ke sab se achhe dost - jo meri har mussebat ka saathi raha - jo bhaaiyyoN se bhi baRh ker hai - us ki biwi, dost se chup ker, har kisi se paise udhar leti hai - aur kabhi wapas nahi kerti. Main is se pehle bhi choti moti raqam murawwat main udhar de ker bhool chuka hun.  Aesa hi baqi log kerte rahe hain - halanke sab jaante hain ghar main har tarah ki aasahish maujood hai. Dost ki naik naami, achhe chaal chalan (character) aur har dilazizi ki wajah se sab hi chup kerte rahe. Waqt ke saath saath us ki biwi ki himmat  ab itni barh gai hai ke us ne lambi lambi raqmoN ka taqaza kerna shuru ker diya hai. Barson se ye silsila chal raha hai - nahi malum dost ko is baat ka kitna ilm hai. Batata hun to us ki azwaji zindagi pe bura asar paRta hai - nahi batata hun to dost se be-wafaii ka gumaan guzarta hai - Kiya karun?"

"Dekho jis cheez ka pardah Allah ne ab tak rakkha huwa hai - tum kaun hote ho us ko faash kerne waale? Itne barsoN se agar ye baat chupi hai - to is main mere rab ki koi maslahat hai - ya dost ne hi darguzar ki rah pakRi hui hai. Mashwara to yahi hai ke khamosh raho. Haan! agar kabhi aesi nobat aa jaye ke gawahi deni paR jaaye - to phir apni puri imandaari se sach bol dena".

No comments: