Saturday, January 05, 2019

Apne hisse ki shamaa

Chahe aap ka hamsafar aap ko choR  jaaye
mehboob daage-mafarqat de jaaye
aulad aankhain pher le
jism koi bimari pakaR le
naukri chali jaye
zindagi bhar ki jama punji loot jaaye

magar - 
agar aap ne kahin kisi ke liye koi aik choti si shama jalayi hai - to yaqeen kijye - maut ke aakhri lamhe, aankain munddte huwe ye bhi bohat hai 

aap ki zindagi raayegaaN nahi gai - ke - insaniyat ke safar me aap ne apne Dhona Dho liya - apna kirdar nibha gaye

Baqol faraz:
shikva-e-zulmat-e-shab se to kahiN behtar tha
apne   hisse  kī   koī   shamaa     jalaate   jaate

No comments: