Monday, January 21, 2019

Lal Chand, sitare aur bachpan ki aik adat


Kal raat poora chand girhan tha... aur poora lal chand - lal aasman ke saath.

Aesa chand girhan main ne kabhi nahi dekha..

Aese main meri nazar aas paas ke sitaroN pe pari
- sitare yun ubhar aaye the jese chand ke dukh pe woh bhi ashkbaar hon

Aese main mujhe bachpan ki aik purani adat yaad aa gai..

Jab dadi kahani suna ker ghar ke aangan main hame sula deti - charon taraf andhera ho jaata to main chand sitaroN ko tikti baandh ker dekhta rehta aur kuch der baad yun mehsoos hota jese aas paas ka sara mahol dab gaya ho - aur main sitaron aur chand ki aagosh main khalaon main uth gaya hun.

Jab pehli baar disney gaya - aur phir Kennedy Space Center gaya 
- to bachpan ka woh nazara phir saamne aa gaya.

Aap bhi kabhi sitaroN ko, chand aur space ko aese dekhne ki koshish kijye..

- aap ko mehsoos ho ga, aap is kaainaat ka hissa hain - aur ye aik bohat hi khubsurat aehsaas hai

2 comments:

bsc said...

I have been absent from blogs for personal reasons and you wont believe it I had forgotten the name of your blog until I saw link from my old blog Nystix word did not help
So much for my Arzalil-umer *Senilility)
Now I will catch up and let us start with this Lal Chand'First I lived in village sleeping on Chhatt and very familiar with what you are saying
But to yell yo the truth what attracted my attention is Lal chand But wait
Read it as Lalchand My older brother told me Their physiology professor (prepartition ki baat hay) He had a disliked by students bad habbit that before starting his lecture he would regularly ak questions about his previous lecture and now this
'Lalchand tum kamaal kertay ho
rose ham say sawal kertay ho

mystic-soul said...

Uncle: I hope everything is good for you.

AS I am getting old, I recall and enjoy my childhood jokes more by myself. I enjoyed this very much;

Lalchand tum kamaal kertay ho
rose ham say sawal kertay ho