Tuesday, January 08, 2019

Guman aur Galat-fehmi

Zindagi main main ne seekha hai ke - hamare ziyada ter rishte sirf is liye toot jaate hain kiun ke hum apne dil main koi guman paida ker lete hain.

Main ne bachpan ka aik dost sirf is liye kho diya tha, kiun ke woh mere purane cell number pe text kerta raha - aur main us ke purane number per. Dono ne aik dusre ke liye dil main aik guman paida ker liya.

Aakhir kaar - aik mushtarka 'forward group email' se phir baat hui - to muamla saaf huwa.

Gar dono main se koi aik - text message ka jawab na milne se - call ya email ker leta to ye badgumani kabhi paida na hoti - na rishte tootne ki nobat aati.

Is bhagti zindagi main halaat ye ho gaye hain ke:

"Glance at the screen, if it does not feel right, swipe right and move on"

3 comments:

bsc said...

Refer to Aya @12 of Sura al-Hujuraat
Arabic word used is Zann translated as badgumani
Yes it is true that often no info is interpreted as something wrong
We should give benefit of doubt for better thinking

Shaan said...

@bsc Thankyou Uncle for such information with reference

mystic-soul said...

Uncle: You almost made me cry