Wednesday, January 30, 2019

Pardah

Ho sakta hai is baat main mubalga ho - magar "underlying message" bohat khubsurat hai

Kehte hain qayamat ke din insaan ko us ki ma ke naam se pukara jaaye gai - Aesa is liye ke - agar kahin koi lagzish hui bhi hai - to us ka pardah reh jaaye.

Agar Allah ko aurat ka pardah qayamat ke din bhi gawarah hai - to hum kaun hote hain - is duniya main kisi aurat ki izzat se pardah uthane wale

7 comments:

Shaan said...

But the fact is aurat khud apni importans nahi janti afsoon..

@Mystic sir apse ek request thi can we have an introduction blog where we can introduce our self like you, uncle and many ...
sir mujhe to aeysa lagata hai i shoud talk to uncle every day sach me.bhuat ilm hai unke pass

zindagi ki diary said...

Yaar Shaan. Parde main rehne do. This is my escape from my real life. Let me stay happy in dark.

Shaan said...

koi baat nahi sir, Apki khushi se badkar aur kuch nahi

Books and Stilettos said...

Mystic ... Mard ab parday mein rehna chahay hain ? :) Khwateen ney to parda kab ka utar dia ....lol

zindagi ki diary said...

Books n St.:: aap ke tanz se chehre pe muskurahat aa gai. Akbar illahbadi yaad aa gaye

pūchhā jo maiñ ne aap kā parda vo kyā huā
kahne lagīñ ki aql pe mardoñ ke paḌ gayā

Books and Stilettos said...

Tanz nahi tha ...mazaq tha ... han albatta .. Akbar Illahbadi ka sher pas e manzar mein zarore tha 🤓 ....apka jawab durust hai ...water cooler bhi parda nashinon ka hua :) just kidding !

mystic-soul said...

:)