Kristine Boston main meri landlord thi. Kristine ki umar 85 saal ke lag bhag thi. Isi house main kamre kriye pe de ker guzara kerti thi. Ye house Kiristine ne apni mehnat ki kamaaii se jawani ke dino main khareeda tha. Kristine ne kabhi shadi nahi ki. Na hi hamare saamne kabhi church gai. Kristine Boston University main retirement tak nursing paRhati rahi.
December ki shadeed barfani raat thi. Main lobby main betha girti baraf ko dekh raha tha. Dil pe aik ajeeb sa gubar chaya tha - koi baat thi jo andar hi andar udaas ker rahi thi.
Kristine ne aa ker mujeh Cappuccino ka cup diya. Aur hum bagair kuch baat kiye baraf dekhte rahe. Kuch der baad Kristine ne mujeh se poocha: "Kiya soch rahe ho?"
Main ne Kristine se kaha: "Sochta hun ye baraf bikul Maslow ke pyramid jesi hoti hai".
Kristine ne mujh se kaha: "Zindagi ka koi falsafa, koi theory, koi pyramid nahi hota. Tumhare Maslow ke pyramid main jo love hai woh kabhi meri biyaz se na guzra. Meri ma mere paida hote hi mujeh hospital main choR ke bhag gai. Main foster houses main pali barhi. Har tarah ke abuse bardasht kiye. Zindagi main meri aik baat yaad rakhna - zindagi bus hoti hai - kabhi to bachpan ke ghao der tak saath chalte hain - aur kabhi kal ki baat yaad nahi rehti. Main dekhti hun, tum zindagi ki soch main bohat waqt zaya kerte ho. Zindagi ka koi maqsad nahi hota, siwaye is ke, ke use imandari se ji liya jaaye - yahi sab se bari ibadat hai".
Kristine ye sab keh ker chali gai - aur main phir baraf bari dekhte zindagi ki soch main gum ho gaya. Aaj Kristine ne cappuccino kuch ziyada hi tez bana di thi.
4 comments:
Salaam
One of the best messages about the life.
I think so.
Kristine, shayad bilkul theek thi.
Mujeh bhi aesa hi lagta hai
Post a Comment