Wednesday, August 14, 2019

We meet people for a reason

Log kehte hain: We meet people for a reason

Log hamari zindagi main aate hain, aur chale jaate hain - jese tum meri zindai main aaye
- magar ab tum ho bhi to kiya, na huwe to bhi kiya 
- pehle tum mere liye sab se ziyada zaroori the 
- aur ab be-maani ho!

Ab sochti hun - tum meri zindagi main do wajah se aaye 
- Aik to mera M.Phil mukammal ho jaaye
- dusre mujeh fajr ki namaz ki adat ho jaaye

Tum se wese hi library main mulaqat ho gai. Tum mujeh mere M.Phil pe mashware dene lage, jo khub kaam aaye. Main jo M.Phil se bilkul dilbardashta ho chali thi, phir aik naye josh se apni paRhaii kerne lagi. Tum jesa 'kathor dil' kabhi nahi deka. Main ne tumhe seduce kerne ki lakh koshish ki - magar tum shayed saari manziloN se pehle ki guzar chuke the. Ye anaa' ki haar thi ya kuch aur, main raaton ko be-khawab ho gai. Amma ki subah ki azan ka alarm bajta to main ne bhi fajr ki namaz paRhna shuru ker di.

Phir mera M.Phil mukammal ho gaya..

Saari namazain bhale qaza ho jaain magar insaan agar fajr ki namaz paRhna shuru ker de to rab  ke bohat jaldi qareeb ho jaata hai - poora din us ke naam ho jaata hai

- Aur phir tum mere liye be-maani hote chale gaye. Ab mere liye tum sirf aik 'existence' ho. 

Tum hi ne aik dafa kaha tha na: "Ishqe haqiqi main kamyabi ki bunyadi kaleed ishqe mazaji main nakami ka bunyaadi tajarba hai".

Sach kehte the tum!

4 comments:

bsc said...

Wow. Whoever the writer it strung two wires of mine
In my very early perhaps earliest writing ( like a blog of modern times) was the "ishq-e-haqiqi ki buniyad ishq-e-majazi men nakami "
I had written almost exactly the conclusion of my Paragraph (blog) while in my teens.
Second: While growing up in my village I remember my mother coming to my bed and waking me up for Fajr prayer
This is my most fav prayer now and I still enjoy waking up and hurrying to masjid for it Other prayers now mostly at home
Yes that "alarm" is a lifetime alarm
Way Utth mundiya toon deewain de namaz parrhni ay
(O laddy get up; will you pray for the rising sun?)

zindagi ki diary said...

Uncle: It took a long time for me to learn why many Sufi poets wrote poetry as a woman!!

bsc said...

The same with bhajans
Well it is a good write up and the Ishq part was kind of a surprise

mystic-soul said...

I guess we all learn the same universal lessons. But similar words are very surprising