Friday, September 06, 2019

Maran-MuRi (Nursing Home ki aik jesi - aik aur kahani)

Main ne aur meri biwi ne saari zindagi mehnat ki. 
5 bacche bare kiya. 
Bulke bachhon ke bacchon ko bhi bara kiya.

Main plumber tha, meri biwi school teacher. 
Pehle paise jama ker ker ke baRe bete ko Amrika bheja. 
Phir teen betion ko parhaya likahya aur beeha ker Canada, Qatar aur London bheja. 
Sab se chote bete ko NED university se engineer banaya.

Kabhi na makan banwaya na koi daulat burhape ke liye jamaa ki

Sab bachhon ki shadi ke baad aik ke baad dusri aulad ki auladon ki babysitting ki
London, Canada, Qatar aur Amreeka ke beech football ki tarah - 

~ umar guzar gai
Meri umar 80 baras ki aur meri biwi ki umar 75 baras ho gai.
Bimari aur burhape ka choli daman ka saath hai

Mere diabetes ne mujeh bistar se laga diya
Meri biwi ko 3 mahina pehle stroke ho gaya

Wahi huwa jo is perdes main hota hai

Main shahr ke aik kone pe aik nursing home main 
- meri biwi shahr ke dusre kone main dusre nursing home main... 

Dusre ma-baap ko ab bhi ye mashwara dete huwe zaban laRkhaRa jaati hai ke
 - burhape ka koi sahara bacha ke rakhain - Apni maran-muRi ki hifazat karain
kiunke apni hi aulad pe harf aata hai

Wese perdes main aulad  bhi majboor hoti hai, un se bhi koi gila nahi 
- dekho hum dono mian-biwi ke pass - aakhri waqt kaatne ke liye - ye iPad aur wifi ki service bhi hai.

7 comments:

Anonymous said...

This is so sad

bsc said...

BuRhapa awr uss ka plan kerna paRta hay apnay apnay halaat k mutabiq Even then it is no guaranti things will turn out better or according to plan
Yes sad indeed

mystic-soul said...

Agree: Life is so unpredictable

Aly said...

This is very wrong :( Children must fulfil their obligation towards their parents.

bsc said...

Mystic bhai the title maran-muRi I could not understand could you explain it to me?

mystic-soul said...

Aly: I gave up: Yesterday I told one of my colleagues, let's go out and choose a good nursing home! I already instructed nurses in my hospital my favorite room :)

Uncle:
Maran = Death,
MuRi = asset/fortune/treasure
Maran-MuRi = Money kept for end-time/death/old-age

bsc said...

Thank you