Sunday, January 04, 2009

Kaun bikta nahi zamane main - 2 (update)

Is blog pe main ne, Karachi main, apne us waqiye ka zikar kiya tha - jub hum gulshan-e-iqbal ke ilaqe main 'gana' sunne jaya kerte the - aur wahan aik larki mujh pe aashiq ho gayi thi (here). Us larki ka naam Gul-Shireen tha magar hum use Gul bulate the.

Main koi saal pehle Karachi gaya to Gul ko phir dhundhne 'bazare-husn' ke chakkar kaate magar woh nahi mili. Kuch dinoN pehle mera aik dost Karachi se wapas aaya to kisi tarah Gul ki khabar laya.....Gul khubsurat to thi hi, so wahin 'bangle' pe aane wale kisi shaks ne aashiq ho ker gul se shadi ker li. Ab uske do bachhe hain aur woh aik sharifana zindagi basar ker rahi hai.

Mujhe Gul ka 'mobile #' bhi mila. Main kafi dinoN is makhmase (confusion) main raha ke mujhe Gul ko phone kerna chahiye ya nahi? Mujhe ye dar tha ke kahin mere phone se uski bani banai zindagi main koi talatum (storm) paida na ho jaaye - magar aakhri mulaqat ka 'ghao' itna ghera tha ke main ne majboor ho ker Gul ko phone ker hi diya.

Mere phone dial kerne pe jub Gul ne hello kaha to mujhe koi aur baat nahi sujhi aur main ne kaha: "is waqt baat ker sakti ho?"

"Tum !! ....15 baras baad meri yaad kese aa gai"

"Hairat hai! itne saaloN baad bhi tum ne foran meri awaz pehchan li"

"Tumhari awaz to main lakhon main pehchan leti"

(Is ke baad bus rasmi 2/4 batain hi huiN thi- ke uska beta school se wapas aa gaya)

Koi kisi se itni mohabbat kese ker sakta hai. Koi kisi ko itna kese yaad rakh sakta hai. Gul jis 'profession' main thi, wahan aik se aik turram khan haazir hota tha. Main to bohat hi average sa, patla dubla lurka tha. Magar na jaane woh kiun aur kese, yun dil de bethi ke aaj tuk mujhe bhula na paai. Kaash main ne phone nahi kiya hota - Woh mujh per pehli mulaqat se bhi gehra ghao chor gai....

Ye dil saala bara harami hai !!


Addendum: I should have added this in post above but realized after reading uncle saugoree's comment. "...I think, more than loving me, she remembered me because 15 years ago my comment hurted her very much.....Zaban ka ghao talwar se ghera hota hai......"


8 comments:

bsc said...

I do it sometimes only. This was in 1995

agar mil jaaiay koi chahnay wala tumhain ay dost
isay khush-qismati samjho, mubarak ho tumhain ay dost

Qafia aisa drust nahin magar mera matlab zahir hay.
Kia aap nay Gul say mafi chahi keh aap nay woh baat keh kay dil dukgaya tha?

mystic-soul said...

Nahi, is ka mauqa hi nahi bana...Aur ye dukh mujh sab se ziyada hai...Aik jumla jo 15 saal pehle mun se nikal gaya tha,......probably thats why I never forgot her...

Now I think, more than loving me, she remembered me because my comment hurted her.....Zaban ka ghao talwar se ghera hota hai

Last year, I went to find her to apolgize but unfortunately could not.

Should I call again and ask for apology.....himmat nahi hoti

Anonymous said...

Leave her alone...
I dont know what you said, but if you realize that what you said was hurtful than you must also understand that nothing that you say now will help... some times we just need to let go. I hope she is happy.

bsc said...

I would probably go along with anonymous.
But .. aapki haqiqat pasandi aur diaynat dari ki daad deni chahiyay.
aur yahan Gul ki "dil denay wali harkat" ki bhi daad diay baghair nahin reh sakta ki us larrki nay us dublay patlay "aam say" larrkay ki zahanat aur haqiqat pasandana tabiĆ½at ka nazzara ker liya tha, woh baatin jis per dil diya jata hay.
May be she has some similar qualities that were hidden behind her "professional" outer covering?
Just my guessing.
Now, knowing what I think I do about you, It would be hard for you to stay away and "let go". It is good to know she is doing well. I would congratulate her for choosing the life she has been able to do AFTER being in that profession. Kia maaloom kia majboorian theen bichari ki? jo usay aisa profession ikhtiar kernay ka moojib huieen.

Anonymous said...

Annony and Saugoree uncle -

I think, its appropriate to just close all chapters and move on with life...May Allah bring peace and happiness and forgive me for my stupid outburst.

And thanks for compliment...

Anonymous said...

hmmmmz. I believe time heals everything. We give a lot of importance to things in our life but in the end they turn out pointless. It's funny...ishq karne wala maaf kar deta hai..mager the one who has been cruel actually remembers for longer.


But...I believe you should not have called her to begin with. By even mentioning that you wisheddd to talk to her you wished for an apology of sorts (contact of sorts)..in a way are you not hmm hurting your own wife? She may not speak of it or mention it..mager kisko acha lagta hai kay their partner..their half deen...calls talks to apologizes to a woman who was in love with him..and who he might have had feelings for as well.

I donno..you should not have called :)

bsc said...

Yeah you have a point, but lets forget for now

Anonymous said...

yaap..lets move on..