Thursday, January 15, 2009

Meri aik Nazam GAZA ke naam

Gaza main jo bapi hai aaj qayamate sugra
kaanp gayi dharti, aasmaan sarak gaya

"Qatle Hussain asal main hai marge yazeed"

Islam phir zinda hoga ke hua phir karbala

Ye to taalim-e-torah ho nahi sakti kisi tarah

beh'ta khun, jalti aag, har taraf badal siyaa(h)

Ibne-maryam ko dhund ke lao kahin se yaaro

ke insaanoN ko bachaye, woh suli ka meseeha

Mujrim woh hai jo zulm dha raha hai, magar

Khamosh jo haakim hain, banao unka katehra

"sabbath' ke roz maut, khauf aur khun ki holi ?

"das aehkam" ye to na the, ke manao aashura

Barood se qaumaiN mitti nahin, batao nadaN ko

werna aaj bhi hota arz pe namrood ka basera

Duaa kerte raho dil main apne, agar majboor ho

yaqeen rakho ke raat ke baad aata hai sawera

2 comments:

bsc said...

Sach kaha hay aur khoob hay
Yaqeen rakho ke raat kay baad aata hay sawera

Aag aur khoon ki yeh holy
aur duniya ab tak nahin boli
We should continue praying and exercising our right to protest strongly. (It so happens I am participating in these protests since 1948)

Anonymous said...

May Allah bless all innocents who are dying for no reason....