Thursday, September 23, 2010

Iqra!

"Jub Mohammad se kaha gaya ke: 'Iqra' to is ka matlab ye nahi tha ke - naha dho ke, musalla bicha ke, topi pahen ke, feroz sons ka chapa koi sipara nikal ke - tote ki tarah far far parhna shuru ker do. Bulke iska matlab ye tha ka zindagi main jub kahin koi musibat aaye to sachhe dil se ooper wale ki hidayat ki tamanna karo. Zindagi ka har waqiya aik paigam maloom hoga"

Sir Aleem (here, here) ki ye baat jitni asan lagti hai - utni hi mushkil hai

Ye raaz kisi ko nahi maalum ke momin
qaari nazar aata hai, haqiqat main hai quran (iqbal)


(Sir Aleem recently died of cancer)

1 comment:

Anonymous said...

sigh...beautifullll shair by iqbal indeed : )