Friday, February 09, 2007

Sir Aleem

Sie Aleem se yun achanak 18 saal baad mulaqat ho gi ye to main soch bhi nahi sakta tha. Sir Aleem mere un chand "teachers" main se the jinhe main kubhi nahi bhool saka. Teacher to woh kehne ko 'islamiyat' ke the magar hamesah class main tie suit pahen ker aate the. Daarhi bhi nahi thi aur angrezi, angrezi ke ustad se bhi achhi bolte the. Un se 'islamiyat' to kher jo sikhi woh sikhi magar un ki sunai hui dev malai kahanian aaj bhi mujhe yaad hain. Kubhi kisi mazhab ki buraii na suni unse. 'Islamiyat' ke period main hindu, yahood, zartoosht aur yunani mazhaib ke ajeeb o gareeb qisse sunate aur hum khuli aankh se saare waaqiat apne saamne chalte dekhte. Aur phir aahista se batate ke kese woh purani rasoomat islam main daakhil huin aur kese un ilhamat ki nai tashreeh naye zamane main hui. Unhon ne bacchon ke liye aik kitab mazahib-o-aqaid ke tassalsul per asan zaban main likh ker "Board of Education" ko urdu aur angrezi main di magar Pakistan jese mulk main woh kisi raddi ki tokri main dab kar reh gai.

Main ne Pakistan chor diya magar kahin na kahin sir aleem ka zikar zaroor aata ya kabhi koi aesi baat sunta jo un se suni thi to bohut yaad aate. Aaj subha se un se suni hui ye baat bohut yaad aa rahi thi ke kese Kalidas aur Shakespeare ke dramon main kai batain mhustarik hain (humain tab to kuch pata na chalta ke kiya bol rahe hain) aur phir batate ke sadion ke faraq ke bawajud ooper waale se ilm usi noiyat se ata hota hai ................

Sham ko mere bachhe ne zid ki ke park jaana hai. Main park main bachhe ko jhule ki taraf le ja raha tha ke aik shaks tie suit pehne pursukoon aik bench pe betha tha. Jis andaaz se us ne apna chashma theek kiya main thora aage gaya aur phir mur ker wapas aaya. Main ne kaha: "Sir Aleem"? Unhon ne chaunk ke meri taraf dekha, bole: "Haan". Main ne kaha: "Sir mujhe pehchana"? Gor se dekhne lage. Main ne taaruf karaya to foran pehchan gaye. Har kisi ka naam le le ker poochne lage. Main ne apne bacche se kaha inhe salam karo, ye mere ustad hain. Main ne kaha: "Sir aap america main"? Bataya bhai se milne aaya hun. Batane lage ke kese ab bhi woh bachhon ko 'islamiyat' parhate hain. Un ki bataon main aaj bhi wahi conviction tha. Bole ab apni kitab america se chapwaun ga..aur phir na jaane kab baton baton main mere bete ko koi dev malai qissa sunane beth gaye aur use koi baat sikha di. Mujhe hosh aaya to sham dhalne ko aa gai thi. Un ki bhi 'ride' aa gai thi. Chalte huwe apna email diya. Bohut taakid ki ke dusre students ko bhi de dun...

Aur main sochta raha ke - tie suit pahen ker, email kerte, Kalidas aur Shakespeare parhate - kitne teacher honge jinhon ne islam ki asal taalim ko logon ke dil main utara hoga.

3 comments:

Anonymous said...

The next time u mail him, do ask him if he really is going to publish his book, and if they would be available for everyone. SO that we too can get to learn from him what he has to give :)

mystic-soul said...

Actually, I suggested him to get it in 'pdf' format and save it for anyone who needs. Haven't heard back (yet).

Aly said...

Did you ever hear back from Sir Aleem about his book!