Sunday, February 04, 2007

Khandraat

Kai logon ko khandrat se ishq ho jaata hai, jinhe archaeologists kehte hain.

Kis mimber pe girja tha shahe-hukam pehle,
kis mahel main giri thi deewar pehle,
Kis raani ne hasad ki aag main
kaneez ki gardan ketwaii bekus
Kahan et tu brutus ka saaniha huwa
kahan deewar main chune jaane ka huwa almiyah
Kahan patharron se doodh ki naher nikalne ka maujiza
Kis deewar pe mohenjo-daaro main bana naqsh pehla
Ye gol ghumti sirhian (stairs) ooper ko kahan jaati hain
aur neeche kis teh-khane ka raaz faash kerti hain

In main kubhi hum jese insaan ghuma kerte the
Socha kerte the, bola kerte the, likha kerte the

Aur phir sub pani ka bulbula
A to Z pani ka bulbula

No comments: