Sunday, February 25, 2007

Woh log

Sochta hun, dheeme meezaj ke woh bhi kiya log hote hain jo dusron ko asani se maaf ker dene ki quwwat rakhte hain, aur khamoshi aur muskurahat jin ka zewar hota hai. Dukhon ke kese kese duriya unhon ne khud paar kiye honge ke kisi ke dil ko zara koi thes na lag jaaye, is baat ka unhe har dum khayal rehta hai. Shayed yahi log wali hote hain.

3 comments:

sobia said...

haan shayad yehi log wali hote hein aur inhi logon per duniya k log zulm k andekhe pahar torte hein. yehi woh log hote hein jo kisi k do jumlon se ander hi ander toot jate hein aur ooper se muskarate rehte hein. yehi woh log hote hein jo doosron ko muaf ker dete hein magar khud ko dobara jor nahi pate.

mystic-soul said...

WIMW: Thanks for commenting. I visited your blog and pretty mature stuff there.

sobia said...

thanx for visiting my pages