Wednesday, January 16, 2008

Sukh aur Dukh

Agar aap ko yaad ho to main ne is blog pe apne aik teacher Sir Aleem ka qissa likha tha ke woh apni nauiyyat ke alag 'islamiat' ke teacher the (here).

Aik din un ki class main 'Sukh aur Dukh' ke subject pe garma-garam bahes ho rahi thi. Hum sirf dasween (10th) main the magar bare maulvi bante the. Apni apni aqal ke mutabiq bahes ker rahe the. Tub unhon ne black board pe Hindustan ke kisi sufi ka ye sher likh diya (what a teaching - writing on black board scrpited that sher in my brain forever).

Sukh ne dukh doye, 'hazrat' likhya re piya
so dosh kisi ko naahi dewe maherban mera

Sir Aleem ne bataya ke is sher ki aik aam aadmi tashree ye kerta hai ke 'uper wale' (hazrat) ne sub ka sukh aur dukh likha hai is liye kisi ko kiya ilzam dena?

Magar baqol sir aleem, ye tashree theek nahi. Un ke mutabiq 'hazrat' ka lafz kubhi kahin kisi jagah 'uper wale' ke liye istimal nahi hua, bulke 'hazrat' khud insaan ko kehte hain - insan khud apna sukh aur dukh likhta hai, isliye 'uper wale' ko kiya ilzam dena ?

Woh aksar kehte, kisi ke saath aaj neki karo ge - kul kahin aur kaam aaye gi. Aaj achhe kaam pe paise kharch karo ge to kul daulat mile gi - Aur - kisi ka dil aaj toro ge, kisi ko aaj dukh do ge to - zindagi main kisi aur tarah nuqsan uthao ge. Dukh do wajah se aate hain. Ya to allah aazmata hai * ya phir bure amal ka payback! Bus dono se darte raho aur 'surah asar' ka wird kerte raho !


* Mujhe yaad hai is baat per main ne Ghalib ka ye misrah parha tha aur unhon ne muskura ke mere baal bikhar diye the - yahi hai aazmana to satana kis ko kehte hain !

6 comments:

Anonymous said...

bohut bohut khoob :D...what goes around comes around wali baat bhi and the little mix of ghalib. Waisay does not the english phrase sound rough and mechanical...aur issi khayal ko jub urdu main paish karo tou shayad apna hai isliye khoobsurat lagta :)

When you think about it soo many people are affected by and interact with soo many...socho tou lagaye keh how can there be any balance in life at all.

This year when I was supposed to give zakat I thought keh ooo why not get myself something very expensive phir meray paas kum hongaye jinmain say deni hogi :$. (which is all babas to begin with since I do not earn)...Woh kehte hain...tum kissi aur keh huQ ki cheez kyoun leh rahi ho. And its funny beacuse suchi main Allah ne "meri" qamayai main kissi aur ka naam bhi likha hai...did that make sense?

Anonymous said...

Yes it makes perfect sense !

Islam main daulat jama ker ke rukhne ki bajaye use istamal kerne ko ziyada psand kiya gaya hai.

American concept of economy - 'spending is a virtue' - is near to Islamic concept but Islam goes further that help out without interest to those who are in need. More like a welfare state.

Anonymous said...

Nicely said, children are so Lucky to get such Fine Teachers :)

mystic-soul said...

I feel very lucky to have great teachers in my younghood

Dipti said...

dear brother ... i am enjoying posts on your blog and learning from them..kudos ...

Anonymous said...

you are welcome !!