Aaj Pakistan, bulke mera Pakistan - jin halat main hai - Mustafa Zaidi ki ye nazam bohut yaad aa rahi hai. Yun lugta hai mustafa Zaidi ne mere dil ka haal likha hai.
Tina Sani also sung it so well , listen here
meri palkon ko mut dekho
inka uthna inka jhapkna
jism ka na-mehsus samar hai
meri aankhon ko mut dekho
inki aut main shame gareeban
inki aar main dashte azal hai
mere chehre ko mut dekho
is main koi wade farda
is main koi aaj na kul hai
ab us darya tuk mut aao
ji ki lehrain ruth chuki hain
us kunwain se lo na lagao
jis ki nabzain chut chuki hain
ab mere qatil ko chaho
mera qatil marham mrham
darya darya sahil sahil
qaziye shahr ka matha chumo
jis ke qalam main zahre hilahil
jis ke sukhan main lahle salasil
ab us raqs ki dhun pe nacho
ji ki gat per lut gaya qazi
jis ki ley per bik gaya qatil
bik gaya qatil
bik gaya qatil
meri aankhon ko mut dekho
No comments:
Post a Comment