Tuesday, January 08, 2008

Anandi

Is blog pe prostitution pe 2/3 post pehle bhi likh chuka hun, jese "Aik prostitute se mulaqat", "Kaun bikta nahi zamane main" , "Parveen ki Kahani, New York Times ki zubani" aur phir "laga chunari main daag".

Ab ki baar main karachi gaya to mere bhatije Noor Mohammad ne kaha: "Chacha ! aik baar to baazare-husn le chalain, aap to sirf qisse hi sunate hain" Main ne kaha, "Zaroor le chalunga magar pehle tumhe Ghulam abbas ka afsana 'Anandi' parhna parhe ga" ! Saizak ne bhi isi blog pe kahin comments main Ghulam Abbas ke afsanay "Anandi" ka zikar kiya tha.

"Anandi" bhi aik kamal ka afsana hai. Kahani ka theme ye hai ke kese bazare-husn ke baais shahr baste hain aur phir wahi basti wale un aurton ko basti se nikal bahir kerte hain. Is poore afsanay ki zaban is qadar shaishta hai ke kahin se afsana bazari nahi lagta. Aur lamha ba lamha jese kahani aage barhti hai woh parhne se taaluq hai aur hame batata hai ke likhne waala kitna bara writer hai.

Agar aap urdu rasmul-khat parh sakte hain to ye afsana zaroor parhiye. Aap ko andaza ho jaaye ga ke bazare husn ke ilaqon main is qadar raunaq kese lagti hai aur in 'bazari aurton' ke baais kese kai aur insaan apni rozi-roti kama lete hain!
Kehte hain kisi bhi afsane ke bare-pun ka izhar, uski aakhri 'punch line' hoti hai. Is afsane ki aakhri line bhi kuch aesi hi hai!

Read here ( I hope this link remain alive)

No comments: