Friday, January 25, 2008

Sahara


Jub meri sare teen (3 1/2) baras ki bachhi meri ungli tham ker sirhiyan utar rahi thi to mujhe ye faraq kerna mushkil ho gaya ke kaun kis ka sahara hai !

5 comments:

sobia said...

her cheez ko naapa tola nahi ja sakta khas tour per pyar aur saharon ko.

aik beti ki nazar se yeh zaroor kahun gi k beti ki zindagi banane mein aur uss ki khwahishon ko hasratein banne se bachane mein jo kirdar baap ka hai woh sari duniya mil ker bhi ada nahi ker sakti!!

Anonymous said...

wow !!

WIMW: Kiya baat keh di yaar..tum ne to mujhe hila ke raskha diya

Anonymous said...

you remind me this song

Ik piyar ka nagma hai
maujon ki rawani hai
zindagi aur kuch bhi nahi
teri meri kahani hai

http://www.youtube.com/watch?v=bMKjSB2SHn0

bsc said...

Meray bacchay ab baray ho gayay hain isliyay g'children ka likh raha hun
Hal hi main aik rose kay liyay Karachi giya (on my recent visit to Pak) apnay Bhanjay ko daikhnay. Uski poti (dhai sal ki) mujh say pehli bar mili aur gerveeda hogayi. Kheer khanay ko uski maan khilanay lagi to kehti hay "Baray dada khilain" Jab meray janay ka waqt aya to boli" nayin jao, nayin jao"
But I had to leave.
This is Love at first sight or khoon ki kashish.
What happens to the poor heart of the Old dada maybe you can imagine.
But also you know of when Musa (almost two year old nawasa) mujhay airport peh lainay Aya to woh bhi meri ungli pakaray khara tha saman kay intizar main aur main us ki grift ki mazbuti mehsoos ker raha tha.
But really yeh saharay wali bat bahut gehri hay, main "ush ush ker utha" Wah wa kiya khoob

mystic-soul said...

Bikul sahi uncle: "Un haaton ki mazbooti main aik ajab khumar, garmi aur muhabbat ka alao hota hai"