Tuesday, May 13, 2008

Mothers' Day

Allah jhut na bulwaye, sadruddin ko dekh ker kahin se nahi lagta ke woh america main 30 baras se hai. Urdu masal ke mutabiq yun mehsoos hota hai ke "bara baras dilli main rahe aur baar hi jhonka!" Shirt patloon ka wahi andaaz, paoon main BATA ke hawaii chappal, mun main paan, be-dhangi munchain, wahi bikhre bikhre baal, ziyada ter shave bari hui....

Sadruddin, us gas station pe job kerta hai jahan se main ziyada ter gas(petrol) dalwata hun. Peechle sunday main gas bharwane ruka to aik aur employee ne tanzia muskurahat ke saath bataya ke sadruddin ne aaj "mothers' day" pe off liya hai ! Sadruddin aur 'mothers' day' ? - bari hairat hui. Mujhe itna zaroor malum tha ke sadruddin ke waldain Pakistan main rehte hain. Main samjha yunhi chutti ka bahana kiya hoga!

Mera windshield washer khatam huwa to main kul sham phir gas station per ruka, to sadruddin se mulaqat hui. Main ne haste huwe kaha - sunday ko chutti kerni thi to koi 'credible' bahana banate. Mothers' Day pe chutti? Kaun maane ga?

Sadruddin ne mujh se kaha: "Main janta hun log kiya sochte hain magar ye sach hai ke main har mothers' day pe chutti leta hun. Is roz main apni biwi aur 3 bachhon ko le ker bahir ghumne nikalta hun. Hum dinner pe jaate hain, aur main aur bachhe mil ker meri biwi ko Mothers' Day ka gift dete hain. Ab ki baar mere bare bete ne meri biwi ko aik khubsarat khat bhi likha: I promise you mother, I will make you proud of me". Sadruddin ne kaha: "Mera khayal hai, bachhon ko Ma ki respect sikhane ka is se behtar din koi nahi".

Mujhe aesa laga, America se sadruddin ne to bohut kuch sikh liya magar main ne hi ab tuk baar jhonka !!

No comments: