Sunday, May 18, 2008

Bhootnath

Agar aap ye blog parhte hain to aap ko andaza hoga ke main filmain (movies) bohut dekhta hun. Last I saw was Amitabh's "Bhootnath" !

Zindagi ke kai aese waqiat hote hain jo aap blog pe nahi likhte magar woh puri sachhai se aap ke ander rehte hain.

Meri zindagi main bhi aese (mushkil) lamhat aaye hain jin se mujhe ye yaqeen hai ke, jo log aap se mohabbat kerte hain woh mar ke bhi (after death) aap se qareeb rehte hain. Jub aap pareshan hote hain to unki ruh (soul) bhi pareshan ho jaati hai aur shayed aap ki hifazat ki sa'aie (endeavor) bhi kerti hai.

Any comment?

2 comments:

sobia said...

I agree Mystic. I realised this when I lost my father n I felt like my grand father came to me. I could feel his touch, his presence in the room. Its like they r there to help us in the times when we need them the most.

Anonymous said...

This is something hard to express but you just feel...