Sunday, May 11, 2008

Woh 5 minutes

Canada main meri aik rishte ki bahen hai - Nagin. Main jab bhi canada jata hun to 2/3 roz nagin ke ghar therna zaroor hota hai. Nagin ke shohar kaam se raat 12 baje ghar aate hain. Nagin khud bhi job kerti hai magar woh har raat apne shohar ka intezar kerti hai. Main ye silsila peechle 12 baras se dekh raha hun. Aik aesi hi raat Nagin bohut thaki hui lag rahi thi. Main ne usse kaha: "Tum so jao, main bhai ke liye betha hun". Tab Nagin ne mujh se aik baat kahi aur woh main ne aaj tuk kisi kitab main nahi parhi !

Kisi bhi mian biwi ki zindagi main sab se aham (important) - "woh 5 minutes" - hote hain jo sone se pehle woh saath guzarte hain. Zarori nahi ke, us paanch minute main koi physical cheez ho, ya koi gheri baat (discussion) ho. Magar ye 'woh 5 minutes' hote hain jo mian biwi ko jor ke rakhte hain. Jub saath ye '5 minutes' guzarna band ho jain to aahista aahista kai alao (flames) bujh jaate hain !

3 comments:

NaVeed said...

waah i learned a good lesson thanks for sharing

Anonymous said...

zindagi ke ziyada ter sabaq main ne aam insanon se sikhe, kitabon se kum..

guy alone said...

beautiful...!!!