Wednesday, May 21, 2008

Baap ka saaya !

Jub main america main residency dhundh raha tha to aik din aik hospital main mulaqat aik Pakistani lurke aman se hui. Aman us hospital main RT (Respiratory Therapist) tha. Mere pass car nahi thi. Aman mere bare kaam aaya. Woh raat bhar hospital main job kerta aur subha mujhe apni car main le ker mukhtalif hospitals ke chakkar lagata. Yun Aman se meri kafi gheri dosti ho gai. Mera uske ghar aana jana bhi huwa. Aman ka aik beta Jamal tha aur woh hu-bahu Aman ki 'copy' tha. Mujhe aehsas huwa Jamal apne baap se bohut qareeb hai. Kher, waqt guzar gaya. Main kisi aur shahr chala gaya. Main residency main lug gaya. 2/3 baras usse koi ziyada baat nahi hui magar 1996 ke Christmas wale din hum ne 2 ghante khub dil khol ker pakistan ki siyasat se le ker sinfe-nazuk ki nafsiyat per batain ki. Is doran kai dafa usne apne bete Jamal ka zikar kiya !

Aur aik hafte baad 1997 ki new year ki subh main phone ki ghanti se bedaar huwa. Aman ko new year ki night kisi drunk driver ne hit kiya, and he died on the spot. Mayyat (funeral) wagera jese hota hai wese huwa. Jub saare log Aman ko dafna ker chale gaye to main akela kafi der Aman ki qabar ke paas khara agar-batti ka dhunwa dekhta raha. Aik achha insan aik dum se yun chala jaaye aur baqi reh jaaye sirf agar-batti ka dhunwan !! I couldn't decide how to react !!

Jamal ki umer us waqt 8/9 baras rahi hogi. Woh chup tha. Main ne use rote nahi dekha. Aesa lagta tha, jese he didn't know what exactly happen and that his father is gone forever.

Is baat ko 8 baras aur guzar gaye. 2005 ki eid per main florida gaya to Jamal nazar aaya. Yun mehsoos huwa jese Aman saamne khara ho. Aga ne bataya Jamal ko depression ka shadeed marz ho gaya hai. Main ne Jamal se kaha, aao drive ker ke aate hain. Jamal ne mujh se koi baat na ki. Woh sehma sehma passenger seat pe betha raha. Main ne poocha: "Do you drive?" Us ne jawab diya: "No. Cars kill people".....Aur phir usne kaha: "I miss my father" !

'Beloved' baap ka saaya aik dum se uth jaaye to bachhon pe kiya guzarti hai uski misal mere saamne thi. Mujhe yun laga jese Jamal ki zindagi bhi usi lamhe ruk gai thi jis lamhe Aman ki.

Us raat drunk driver ne aik nahi do zindagion ko maut ke ghat utara.

Drive safely !

6 comments:

Unknown said...

it scares me to think about this.i ve 2 kids and i cant even possibly think if God forbid something happens to their father,what would happen to them.

Better World said...

Salaam,
This is indeed very Sad tale.
We all can relate somewhat with this. I feel there should some kind of redressal sysetm to meet these cases and friends, relatives need to come forward to assist Victims and give them adequate emotional support which they need most.
With Regards,
Irfan Khan

Anonymous said...

umarah - Its scary indeed. Nothing scares me accept thinking, my kids growing without any protection !!

Better world - one darwback of today's fast pace world is individualism. We forget

United we stand, divided we fall

Better World said...

Salaam
Agreed but if we overcome this and realise that giving emotional support is better than monetary assistance and the best sadaqa.
Awareness is very important.
With Regards

sobia said...

I agree with better world

Anonymous said...

I agree 100 % too...