Friday, February 16, 2007

Aga

Main jab bhi Florida aata hun to Aga se zaroor milta hun.

Aga bhi aik kamal ka larka hai. Uske sirf 3 shoq hain. Gitar bajana, weekend pe bare aehtamam se, chef cap pahen ker purtakkaluf khana bana ker, doston ki dawat kerna aur teesra photography kerna. Us ki photography kuch alag andaz ki hai. Jin cheezon ko hum nakara samjh ker 'trash' ker dete hain, ya back ally main pari faaltu cheezain ya deewar pe banaye gaye bedhange naqsh - un main woh kuch aesi zindagi bhar deta hai ke aap heran reh jaate hain. Jab bhi florida uske paas aata hun, aik naya album dekhne ko milta hai.

Aga ki zindagi ki kahani bhi kuch ajeeb hai. Aga ko main uski pehli saalgirah se jaanta hun jab amma mujhe uske ghar le gain. Aga mera koi door ka cousin hota hai lekin asli rishta to mujhe bhi nahi maloom. Aga ka baap aik sharabi aadmi tha. Ma ne baap ke asar se bachane ke liye boarding school bhej diya. Aga batata hai ke boarding school main woh kafi bully huwa. Jab matric ker ke ghar aaya to baap ne hyderabad se karachi bhej diya. Yahan taya chacha ke gharon pe dhakke khata raha aur phir uski ma ne mamu ke paas america bhijwane ka bandobast ker diya. Aga jab america aaya to uski umer koi 17/18 baras ki thi. Aga ne mujh se kai baar ye baat kahi ke jis din se us ne america main qadam rukkha, us din se us ne ye than li ke woh doctor bane ga magar tamam ter koshish aur mehnat ke bawajood, he was unable to get in medical school, aur is baat ne use ander se bohat tor ke rukh diya. Jab main america aaya to kuch arse Aga ka roommate bhi raha. 1992 ka hurricane andrew hum ne aik chat ke neeche guzara. Us zamane main aga subha sawere 4 baje uth ker dunkin donut main donuts bake kerta aur phir college jaata. Magar shomiye qismat us ko medical school main dakhla na mila. Dusri budnaseebi ye hui ke, use aik gori se mohabbat ho gai. They broke after 3 years of relationship. In saari baton ne use ander se kafi jhanjhor ke rukh diya magar phir woh kehte hain na ke waqt sab se bara marham hota hai.


Aga ko zindagi ne kuch nahi diya magar aaj bhi woh zindagi se utni hi mohabbat kerta hai. Mujhe ye baat samjhne main waqt laga ke kiun Aga ko gitar bajana aur khana banana pasand hai, kiunke ke ye zindagi ki alamatain hain aur kese woh logon ki pehnki hui bejaan naakara cheezon main zindagi ke rang bhar deta hai.

Main jab bhi florida aata hun Aga se zaroor milta hun!

3 comments:

Aisha said...

You were in Hurricane Andrew too?

Anonymous said...

indeed !! I was in ft lauderdale..

Anonymous said...

hmmmmz..apke cousin/dost agha nay kahain kissi hispanic lady say shadi tou nahi ki thi jo divorce hogayi? Kahain woh canada tou nahi ataye khala ya phuphoo ki family kay paas?

Photography!! :D koi samples hongaye? Art kay shidayi sub...samjhe baat farq farq say har koi.