Hafeez Bhai mere sab se bare cousin ke dost the aur hamare makan pe aksar aana jaana tha. Naam to unka kuch aur tha magar chunke hafize-Quran the is liye naam bigarte bigarte hafeez ho gaya. Hafeez Bhai kamal ki cricket khelte the. Ye woh daur tha jub Javed Miandad ne Karachi se Cricket ki duniya main tehlka machaya huwa tha aur Karachi ki har gali, mohalle aur maidan main har koi Javed Miandad banne ka khawab dekh raha tha. Hum chote the magar bhaiyon ke saath hafeez bhai ke match dekhne national stadium, eidgah maidan aur gali kuchon main jaya kerte. Bari raunaq lagti. Kubhi night match hote to kubhi tape ball tournament. Hum ne Hafeez Bhai ke hawale se kai cricketers se autograph liye. (Allah jaane woh kitab kahan gai jis main Javed Miandad, Aftab Baluch, Wasim Raja, Haroon Rasheed, Salim Yusuf aur aese kai logon ke autograph the). Hafeez Bhai hame bara piyar kerte. Un dinon Karachi main Ramzan ke mahine main "Super cup" hota tha. Poora shahr ikkhta hota. Hafeez Bhai final khel rahe the. Hum paunche to Hafeez bhai boundary pe fielding ker rahe the. Hume dekha to aese tension main bhi apni jeb main 'fanta toffee' lana nahi bhule the.
Phir aik din Hafeez bhai ki shadi ho gai. Hamare haan aana jana kum ho gaya. Mujhe zindagi main cricket se ziyada dusri cheezon se dilchaspi paida ho gai. Ab kubhi saal do saal main hafeez bhai eid eid pe milte.
Phir main america aa gaya. Barson guzar gaye. Main to hafeez bhai ko bhool bhi gaya. Aik din ye khabar mili ke hafeez bhai ki biwi unke dono bachhon ko le ker america aa gayi hai. Main ye baat bhi bhool gaya. Ab ki baar Pakistan ja raha tha to bare cousin ne hafeez bhai ke liye kuch saman diya. Main jub unhe saman dene nazimabad ki gol market gaya to hafeez bhai bohut umer raseedah nazar aaye. Magar usi piyar se mile. Unhon ne apni choti si kahani sunai.
"Log kehte hain Pakistan main mard aurton pe zulm kerte hain. Meri biwi ke dimag pe daulat sawar thi. Pakistan ko woh jahaanum samjhti thi. Pehle din se woh america jana chahti thi. Use lagta tha ke aik maulvi se us ki shadi ne uski zindagi barbad ker di hai. Talaq le ker pehle chali jaati to dil na bethta magar jub gai to mere dono bachhon ko bhi le gai. Roz jeeta hun aur roz marta hun. Har namaz ke baad yahi dua mangta hun, Ya Allah aik dafa aulad se mila de. Ab to uska pata bhi nahi ke kahan hai".
Hafiz Bhai jese piyare, bachhon ke saath itni shafqat rakhne wale insaan ke saath aesa zulm ho jaaye......Pakistan main aurton pe zulm ki sterotyping main hafeez bhai pees gaye. Allah unki dua qabool farmaye.
11 comments:
'Pakistan main aurton pe zulm ki sterotyping main hafeez bhai pees gaye'
What stereotyping has anything to do with this incidence? How has it damaged him???
Achha aur chubhta sawal hai...
I heard this all the time ..that flan flan woman run from Pakistan because life for women in Pakistan is like a hell...."..Agree, its not heaven either.
But many times, men end up loosing a lot without any chance of complaining as everyone thinks, it is always a man who is at fault, esp. back in Pakistan....
Make sense?....?
dukh, hadsaat, zulm aur mohabbat kisi aik sinf se jure huay nahi hain. kabhi mard iss ka nishana bante hein to kabhi auratein.
lekin yeh bhi aik haqeeqat hai k agar hum hafeez bhai ki biwi k rukh se iss waqaey ko dekhein to iss k kai aur pairaye hun.
waise hafeez bhai koshish ker ke apne bachon se contact keun nahi kerte. ho sakta hai iss tarah bache buhut bare adhoore pan se bach jaein
Actually, I tried to find about her whereabouts but so far not much of success.
I am sure, there are 2 sides of story but objective of this post is to emphasis that: Men also suffers when kids taken away, as against normal belief that, its always women who suffers in separation and divorce.
Try to find his kids on facebook :-). By the way I have found few of mone long lost friends on facebook after 20 years.
The best thing of opst was "fanta goli". char anay ki 2. I have almost forgotten about that. Thanks for reviving that :-). How old are you dr sahib if you don't mind sharing?
"Fanta Goli" was one of the best thing...lol
We tried different way and let see....!!
Hafeez bahi told this story when you will listen that lady story it will be totaly different its not easy to survive for a woman alone with the responsibility of two children
Actually, I have to agree with you.
There are always 2 sides of coin and this is only one side...
Pakistan ki aurton ko US ki life koi janat ki zindagi lagte hay colonial slave thinkings these sick woman's Talaq laina kheel tamasha samajhte hain itne hi liberal hain to apnay brother/Son kai lia Talaq wali larki shadi kar kay laayen pata chal jay ga kitne liberal hain
Shareef admi thay warna bohat sare larkian hain aprox 2 Crore (23-29)age ki jitna maal chahoo milta hay sharefr gharana walay plate main rakh kai beeti daytay hain dosri kartay akher 4 shdaion ka hukum ayesa hi to nahen diya naa Allah nay kuch socha hi hoga Allah nay
Annonym 1: You may be right. Ppl. have different standards when it come to their loved ones !
Annonym: I doubt, Hafeez Bhai has any interest in re-marriage after he lost 2 kids but I agree there are resons Islam is flexible in marriage matters.
Post a Comment