Sunday, July 20, 2008

Kalla !!

Is blog pe aap ko yaad ho to main ne aik post ajmal sahab ki bebasi ke hawale se likhi thi, Usi waqt ka aik aur waqiya jo mujhe yaad reh gaya, woh bhi tawajjah ka talib hai.

Meri wahi geriatric rotation jis 'skilled nursing facility' main thi, us ke aik secutity guard "desi" hazrat the. Ab naam yaad nahi magar unka taaluq jalandhar, punjab se tha aur unki wahan bhi india/pakistan ke bank security guards ki tarah 'aye bari bari dhashatnak munchain' thi.

Main subah walk ker ke aqab ke darwaze se 'nursing facility' main daakhil hota tha. Aik subah, darwaze pe food services ki gaari thi aur woh security guard saman utarwane main masroof the. Darwaza khula tha. Main apne doctors' coat main tha aur ab tuk meri un se baat-cheet ho chali thi. Main darwaze se daakhil hone laga to mere saath hi aik "Afro-american" bhi dhakil ho gaya. Main ne to koi ziyada dhiyan nahi diya magar jab woh 'black' building main daakhil hone laga to security guard ki us per nazar pari aur woh uske peeche bhage magar tub tuk -
that black was gone in elevator. Security guard ne mujhe se urdu/hindi main kaha: "sala kalla ! ander ghus gaya. Ye itna saman dekh ke chori ke liye hi ghusa hoga". Main chup raha. Sach kahun, to shayed aik lamhe ko main bhi unki baat ka qaa'il ho gaya.

Main apne floor pe pauncha to woh "kalla" apni burhi ma ko dekhne aaya tha.

Hum sab khud kitne racist aur sterotyped hain. Mujhe khud bohut sharam aayi.

2 comments:

sobia said...

insan to insan hai, apne ap ko doosre se bartar manne k liye kayee bahane dhoond leta hai aur iss i ko hum shayad stereotyping kehte hein

Anonymous said...

and its very common in usa against afro-americans !!