Friday, July 18, 2008

Khushnaseeb Insaan

Kisi mard ke liye 'unemployed' ho jana aik bara nafsiyati 'shock' hota hai.

Prakash uncle ki mere ghar ke qareeb 'postal services and mail boxes' ki aik choti si shop hai. By profession he is an engineer. Main aksar unki shop pe jata rehta hun. Unse suni aik baat ne mujhe zindagi main bohut kuch sikhaya hai.

"Main 1972 main america aaya. Tub se aik hi company main engineer tha. 5 baras pehle aik din main aik dum se layoff ho gaya. It was like an electric shock. I lost my ego, pride, self esteem and self respect in a flash. I was devastated. Main Ghar aa ker sir pakar ker sofe pe beth gaya. Itni himmat bhi nahi hoti thi ke biwi se kahun ke - naukri chut gai hai. Jub darte darte main ne apni biwi ko bataya ke, main layoff ho gaya hun to us ne jawab diya: "Good! ye to bohut achha huwa. Tumhari roz aik hi aik kahani sun ke main bore ho gai thi. Ab kuch din aram karo phir dekhainge kiya kerna hai. Meanwhile if needed, I will do some job"

Prakash uncle kehte hain, us din se mere dil se ye dar nikal gaya ke 'kul kiya hoga'. Mujhe us din pata laga ke 'jise bure waqt main saath nibhane wali biwi mil jaaye wahi khushnaseeb insaan hai'.

(I wrote above post solely from man mindset with apologies to other gender)

5 comments:

Anonymous said...

:) this was wonderful. We fear things because even greater we fear the consequences they shall have on others...those we love. "ager ussay yeh pata chal gaya woh tou zinda zinda mar jaye..etc".

We are infact each others strength :)

I am soo envious lol..I fear everything and anything. Bohut imaan ki zarorat hoti hai.

Anonymous said...

I agree. Best spouse/friend is the one whom you can trust for bad times...Its easy to say but very hard to earn/learn that trust..

You said it very beautifully: "We are each others strength"

sobia said...

mushkil halaat mein hi apnon ki qadr ka pata chalta hai. khushnaseebi to yehi hai k apnon ki qadr uss se buhut ziada ho jo hum ne soch rakhi ho

Anonymous said...

so true !

Anonymous said...

well said mgr aajkal ke wifes tu bura wakt khud leke aajatee hain ..woh kiya sath nibhaynge..woh misalee wifes hote theen jo ke aajkal ke duar mey possible nahi ..