Friday, July 11, 2008

Woh aik khawab !

Aaj subah kagaz pe taarikh daalte mera haat 2 seconds ke liye ruk gaya. Aaj july ki 11 tarikh hai. Is din mujhe Ahsan Ali bohat yaad aata hai. Ahsan Ali mere liye sage bhaion ki tarah tha.

Ab yaad nahi ke kiun ye taarikh hamare beech aik bandhan bun gai - shayed ye woh taarikh thi jub main ne residency ke bad Chicago chora aur Ahsan Ali mujh se aakhri baar mila. Aahista aahista hamara taaluq kum hota gaya magar har saal is taarikh ko uska voicemail pe aik chota sa message zaroor hota ke: " Aese hi phone kia tha, call me if you get time". Aur call back na kerne ka jo ranj mujhe saari zindagi rahe ga us ka zikar pehle (here) ker chuka hun.

Uski maut se koi darh saal pehle ki baat hai. Mujhe khawab (dream) aaya ke main pareshani ke alam main 'dizzy' ho ke girne wale Ahsan Ali ko, us ke ghar se ghasit ke nikalta hun aur deewar se laga ker, pehle bahen ki aur phir ma ki gali de ker kehta hun ke - "agar tu ne talaq nahi li to is gum ko le ker do saal main hi mar jaaye ga". Ahsan Ali ko galion se shadeed nafrat thi aur use koi baat zabardasti samjhani ho to hi main mun se gaali nikalta tha. Pehle din mujhe khayal aaya ke Ahsan Ali ko phone karun. Mujhe Ahsan ali ki 'azwaji nachakion' (Marital problems) ka koi ilm nahi tha. Phir main ne ise sirf aik 'dream' samjh ke jaane diya. Aur Ahsan Ali sach much 2 saal ke andar Allah ko piyara ho gaya. Inna lillahi wa inna ilahi rajeun !

Bandhan ki manfi tapish ("Relatioship's negative energy" ) bohut barh jaaye to uski jhankar dur tuk jati hai aur aksar bandhe insaanon ki jaan bhi le leti hai.

Kubhi khayal aata hai - kiun us se koi baat nahi ki phir sochta hun agar ye waqiah aaj hota to main kiya kerta? Shayed wahi kerta jo tub kiya tha. Aadmi kese kisi se keh de ke talaq le le, woh bhi sirf aik khawab ki bunyad pe? Ashfaq Ahmad Ka kehna hai ke keh dene wali sharmindagi, us ahsase nadamat (guilt) se behtar hai jo saari zindagi saath rehti hai. Baqol Munir Niazi

madad kerni ho us ki, yaar ki dharas bandhana ho
bahut derena raston pe kisi se milne jaana ho

kisi ko maut se pehle, kisi gum se bachana ho
Hamesah der ker deta hun main , hur kaam kerne main

7 comments:

bsc said...

Mumkin hai mystic bhai aisay kaiye halat aur insaanon main bhi hongay laikin mere aik dost kay sath bhi huchh aisa hua hai jo mujhay waisay he yad aata hay kiyonkeh koi tareekh uskay sath wabista nahin.
Sochta hoon main uski kahani poori likkhon. Bus aik waqiya pehlay likha tha jab main usay milnay Nowshehray giya tha aou mihz ittefaq say usay aik aur dost kay haan paya tha.
Blog ki tareekh yad nahin but it was sure from inspiration from your "Zindagi ki diary"
I may not be as good in relating the 'story' though. I am fond of writing in Urdu but 'roman Urdu' meray bus ka 'rogue' nahin.

mystic-soul said...

I remember that story...with train station and tange wala..?
Bus zindagi ki yahi gutthi nahi suljahti. Per Ghalib

ye ilahi ye majra kiya hai

bsc said...

absolutely
aapko bilkul theek yad hai to main zuroor likhonga IA

Anonymous said...

Hmmm... kuch un kahi, un suni batain sari umer yaad ban ker humain tarpati rehti hein... magar tub buhat dair ho chuki hotee hey...phir sirf 'KAASH' reh jata hey ...

My friend joined army after Bachelors and was under training at Kakol. 2,3 din ki chuti per ghar aaya, and he called me, k yar time nikal ker aa jao kuch zaroori bat kerni hey, i said ok i will try...

But main na ja saka. and wo wapis academy chala gya...

Don't know us ney kya baat kerni thi... aur wo kin haalat mein tha.

He died after 3 weeks of this, during army training.

Anonymous said...

Life is so fragile but we take it as granted !!!

Anonymous said...

Do you think that anything can be reason of change the time of our death. no never as a muslim we belive that every one will die at the time HE (ALLAH) choose for us so its we people who find the links and try to relate with circumstances

Anonymous said...

Annony...

Ye dil saala bara harami hai. Tarah tarah ke bahane dhundhta hai....