Saturday, March 07, 2009

Siri Ram urf Rahimtolla

A tale from friend

Koi kehta: "Oye! Siri Ram chai le aa". Koi kehta: "Oye! Siri Ram ja zara bhag ke pao bhaji le aa". Aur koi kehta: "Siri Ram, zara ye chithi post office dal aa."

Siri Ram yun to Bombay main hamare ghar ke saamne factory main mulazim tha magar saari building ke logon ke kaam 'free' main ker deta. Sham hoti to hamare ghar ki gallery main beth ker khirki se 'doordarshan' ke program dekha kerta, aur raat gallery se pare charpai daal ker so rehta. Main Bombay main Kandivali main rehti thi.

Aik din main subah subah uthi to Siri Ram topi pahen ke namaz parh raha tha. Main ne dil main kaha: "Ya Allah! ye kiya majra hai".

Main ne awaz di: "Are O Siri Ram - tu janam jaat ka hindu - ye namaz kiun parh raha hai?"

Siri Ram ne jawab diya: "Hamar naam ab Siri Ram nahi bulke Rahimtolla (rehmatullah) hai. Raat Nabi Mohammad hamar khwab main aaye the aur ye naam de gaye".

Main samjhi, yunhi is ka dimag chal gaya hai. thori der main theek ho jaaye ga magar woh sach ka muslman ho gaya tha. Allah jane kahan se us ne fatar fatar Quran ki aayatain bolna shuru ker di !

Mujhe america ka student visa bari mehnat ke baad mila. Meri september 12, 2001 ki ticket confirm thi aur aik dum se 9/11 ho gaya. Mere abbu ne ticket cancel kerwa di aur phir aik mahine baad ka naya ticket liya. Main bohat dari hui thi. Musalman hone ke naate yahi khayal tha ke america main enter nahi hone dain ge. Siri Ram urf Rahimtolla ne aik din mujh ss kaha: "Are! likh diya gaya hai. Tu zaroor jaaye gi bulke wahan biah bhi rachaye gi magar mushkil ye hai ke wapas India aane ke liye tere mian ki ijazat maangti phire gi"! Us ne mujh se kaha: "Jub tu wahan officer ke saamne jaane lug to ye do duain parh lio" Mujhe Siri Ram ki baton ka koi yaqeen to nahi tha magar immigration officer ke saamne jane se pehle main ne dono duain parh li aur aram se USA main enter ho gai....

Baqol Siri Ram - mera biah bhi rach gaya. Ab mere abbu bister-marg pe pare hain magar mera mian mujhe India jaane ki ijazat nahi deta. Main ne Amma se kaha: "Siri Ram se kaho Dua kare". Siri Ram kehta hai: "Ye to likha tha magar hum phir bhi Dua karain ge. Betiya se kaho har cheez apne waqt se hoti hai".

You always argue about religion with me. How you will explain Siri Ram to me?

5 comments:

bsc said...

Wow, Allahu-Akber
Islam is called
"Deen-al-fitrah"
Like a small chingari, like pilot light, that Allah has placed in the hearts of all humans and it can become a fire any time He wills.
Allah jis ko chahay hidayat day jis ko chahy na day
He does not do it
"Allal-Tappu" He first examines (has knowledge of past present and future)the purity of the heart about which He is the only one who has knowledge and then He from His Mercy creates the circumstances for that happening, which is His Will. Such things only increase my own eeman.
You are a momin (a bit more than Muslim)
Have seen these things in such circumstances that you can only say "Wow"
I think such people(like Siri Ram) have a deeper relationship (with or without their knowledge) with the Creator, so I am not surprised how and why Rehmatullah was able to see "future" of this neighbor girl who evidently he appreciated as his own daughter.

Anonymous said...

Dear Uncle,
Thanks for detailed reply..it was enlightening.

Tell more about 'Allal-Tappu'

bsc said...

Allal Tappu is "Atkal Pacchu", Random in English.
A friend of mine from Gujaraat Area accepted Islam while he was a katter Hindu because he got into discussion with a maulvi saheb.
Without giving you details--afterwards he saw dreams like- he saw all his mohalla on fire and his house was saved (That is the one I remember but he had many experiences worth enhancing his and our Iman)
He gave me an intriguing story of how it happened and what he did after becoming a Muslim and how he concealed the fact from his family etc. It was his guidance that helped me to visit my city of birth-Saugor (now they spell it Sagar) in Maddhya Perdesh (MP which used to be CP (central Province) during British Raj.

Anonymous said...

very very interesting...

"sitaron se aage jahan aur bhi hain"

Anonymous said...

Jaanlaina main or manay main bara faraq hay