Monday, June 08, 2009

Closure!

Zindagi main insaan kubhi sirf aik lafz dhundhta reh jaata hai.
Kisi kitab ka aakhri safha nahi milta.
Koi 'file' hai jo kabhi daakhile-daftar nahi hoti.
Dil main weerani aesa basera daal leti hai,
dil ki zameen aesi baanjh ho jaati hai ke
insaan sehra ki tapti dhoop main -
har sarab ka peecha kerta rehta hai -
magar paani ki woh bund nahi milti jis se qarar aa jaye!

Is blog pe main ne apne dost Ahsan Ali ki maut ka pehle bhi zikar kiya hai (like here). Is 'weekend' pe main aik shaadi pe gaya to aik dum se Ahsan Ali ki biwi (Rehana bhabhi) saamne mil gai. Salam Dua ke baad usne kaha main tum se kuch baat kerna chahti hun. Ahsan Ali ki maut ko 3 baras ho gaye magar mujhe aesa laga ke Rehana bhabhi ke chehre ne shayed 30 barson ka safar tey kiya hai.

Hum starbucks ki taraf rawana huwe. Jese hi main ne gari start ki lata ji ka song shuru ho gaya "tere bina zindagi se koi shikwa to nahi" (here). Main ne CD band kerna chahi to Rehana bhabhi ne manah ker diya. Kehne lagiN main ye sunna chahti hun. Hum kafi der starbucks ke parking lot main khamosh bethe rahe. Mujhe nahi maloom main Rehana bhabhi ka dukh kese baantta. Kuch der bad bhabhi phoot phoot ke rone lagi. Main kiya kehta. Jub unki kuch dharas bandhi to unhon ne kaha: "Tum Ahsan Ali ke sab se achhe dost the. Bus dua karo kisi tarah aik baar kisi tarah woh aake muje se keh jaaye ke, main ne tumhe muaf ker diya hai. Uski maut ke baad aik aik lamha main us ke 'forgiveness' ko tarsi hun. Bus aik dafa, bus aik dafa kahin kisi khawab main aake, ya kisi aur tarah mere kaan main keh jaaye - ke use mujhe se koi gila nahi werna ye guilt mujhe maar dega"

Main tasalli ke do lafzon ke siwa kuch na keh saka. I drove her back to wedding.

Meri Dua hai Bhabhi ke dil ko sukoon mil jaye.
Unke dukh ko 'closure' mil jaaye.... I hope she can moveon with life.

Kuch zakham saari zindagi nahi bharte - bus aaihsta aahista riste rehte hain!

2 comments:

bsc said...

AA
Drust hay keh aam gharon main mian biwi main chapqalash hoti rehti hay aur ham kabhi iss nateejay ko dhiyan main nahin rakhtay keh aisa ho sakta hay jaisa aapki ''kahani'' say zahir hay. mera khiyal hay aap nay yeh blog likh ker accha kam kiya hay keh hamin roze roze kay jhagRon main iss cheese ki yad dahani kara di. Yeh zroor kahoonga keh baRa dil hila dainay wala maamla ho giya bhabi Raiana kay sath Allah say main bhi dua kerta hoon keh woh uskay dil ko chain naseeb karay aameen

mystic said...

I am sure, she never meant to hurt her husband and never expect such a tragedy...

May Allah bless her....