Monday, June 29, 2009

Playing with change!

Jub hum residency ker rahe the to hamare paas aksar qismat ke maare Pakistani, Indian lurke 2/3 hafte ke liye aa ker ruk jaya kerte the. Koi student hota, koi unemployed hota, koi is perdess main naya naya be-sahara hota.....

Aese hi aik lurka aaya tha Asghar. Asghar koi 3 mahine hamare saath raha. Phir use Loyola University main admission mil gaya aur woh kahiN aur roommate chala gaya. Jub hum hospital main hote to woh 'kitchen apron' pahen ker bari nafasat se hamare liye khane pakata.

Hum saare roommate har shaam apne bache kuche khulle (change) yogurt ke aik khali dabbe main daal dete. Farig auqat main Asghar un quarters, dimes, nickels aur pennies se khelta rehta. Aik din main ne Asghar se poocha: "Ye tum 'change' se kehlte rehte ho, is ka kiya maqsad?". Asghar ne jawab diya: "Yun change se kehlne se mere andar, bure waqt ke aehsas pe aik marham sa lug jata hai"

Uske baad meri zindagi main do teen aese waqt aaye jub mujhe paison ki aik dam se shadeed zaroorat par gai magar intazam nahi ho raha tha. Mujhe Asghar yaad aaya. 'Change' se kehlte huwe sach much mera dard kuch kum ho gaya...

A psychological escape - I guess!

No comments: