Baat bohat purani hai magar barsoN baad yun lag rahi hai jese kul hi ki baat ho.
Yun to main jawani main kafi daheriya (atheist) tha magar aik din Jumma parhne 'local' masjid main chalaa gaya. Maulvi sahab ne "Geebat" ke mozun pe bara dhuwan daar khutba diya. Kuch waqiye sach the aur kuch banawti. Magar Maulvi sahab ki aik baat dimag main regh gai ke: "Jub koi kisi ki geebat kerta hai to poora arsh jalal main aa jata hai. Aur foran geebat kerne wale ki saza tajweez ho jaati hai". Mujeh bari hasi aai thi.
Lekin umer ke is hisse main aa ker lagta hai shayed maulvi sahab ne kuch aesa galat bhi nahi kaha tha. Koi to wajah hai ke Quran ne geebat ko murdar khane ke barabar tajweez kiya hai.
2 comments:
awr aam murdar bhi nahiN apnay bhai ka likha hay
afsos yeh hay kih abhi tak merai aadat main bhi farq nahiN paRa awr kaiy bar kisi kay khilaf buraiy ki bat ker jata hoon.
sirf wahaN ijazat hay jab aisi bat nah kerna ziyadah nuqsan ka bais ho. Sura Hujurat(number 49) main awr bhi buhut see allah SWT ki naseehataiN haiN
thats true..apnay bhai ka murdar...
amazing
Post a Comment